Saturday, March 28, 2015

Rakha Hi Ghar Main Kia Hai K Tarteeb Don Jise... 
Kuch Khaab Hain , Idhr Se Udhr Kr Rha Hun Main...



apni aankhen utaar ke rakh do 
jaane waale kabhi nahi aaate


Aarzoo Teri Barqarar Rahey
Dil Ka KYa Hey, Raha, Raha, Na Raha

Sapurdagi Ka Nasha Tootnay nahein Paata
Anaa Samai Hui Hay Wafa Ki Banhoun Main

Friday, March 27, 2015

Chalte Chalte Paun Ho Jaayeinge Patthar Dekhna
Yaad Jab Bhi Aayega Us Ka Palat Kar Dekhna.


Muddaton baad mile.... phir bhi takalluf ke sabab
Mein ruka bhi nahi aur aap ne roka bhi nahi.


Dil Kheencha Jaata Hai Khud Us Ki Taraf
Haye Kitna Khusnuma Woh Teer Hai.

Monday, March 23, 2015



Faseelain raasta rokay khari theen
Hamain tootay huay parr yaad aaye


Her Zeenay Per
==============
Her zeenay per her manzil per
Her pair talay her shaakh talay
Her parday her deevaar talay
Her khirki mein darvaazay mein
Her aatay jaatay rastay per
Her toli mein her dastay mein
Aye dost jahaan tak jaao ge
Tum mera chehra paao ge
Aye saathi dekho aik dafa
Tum apnay mann ka raaz to do
Main dil se tumhaari mukhlis hoon
Tum aik dafa aavaaz to do
Jo tu ne banaayee hai khwabeedah bahisht
Jo tu ne jalaaye hain mohabbat ke chiraagh
Khaab shehzaada jisay tum dekhti ho
Naadeeda saahir jisay tum poojti ho
Roz chala aata hai saahir sa yahaan
Gar yeh he banay teray naseebon ka suhaag
Phir jo past kheyalaat ka maara niklay
Tum he kaho ishq mein paagal larki
Kaun tiray khaabon ki gavaahi de ga


Dukhon ne cheen lee aankhon ki saari beenaayee
Hum us ka sheher to kiya, rahguzar bhi bhool gaye
Koi jaltay mausam mein aashna nahin hota
Har kisi ko bojh apna khud uthaana parta hai
Khoo.n mein jab mehekta hai zaaiqa mohabbat ka
Kitni talkh yaadon ko bhool jaana parta hai

Saturday, March 21, 2015

Dair Tak Saair Shehr-E-Khobaan Ki.
Door Tak Dil K Masamon Mein Safar.
Bethe Bethe MUNEER Thak Se Gaye.
Kar K Dekhain Ge in Dinon Mein Safar.......!


Wo baat karta to honto pay phool khiltay thay
Bahar e wasal k amkaan ka nazara thi

  1. Sehra e kharabi ki isi gard e safar say
    pholoon say bharay rastay niklain ge kisi din.............!!!

  1. Mehfil main asmaan ki bolay k chup rahay,
    Amjad sada zameen isi paish o pass main thi.............!!!

  1. Itnii Deir Mein Ujrey Dil Par Kitney MehShar Beet Gaye
    Jitni Deir Mein tUjh kO KhOu Kar Paaney Ka Imkaan hUa

Friday, March 20, 2015



samandaron me munaafiq hawa chalaata hai 
jahaaz khud nahi chalte khuda chalaata hai 


BaShar Raaz e Dili Keh Kar Hamesha Khwaar hOta hAi
Nikal Jaati hAi Jab KhUshbOo tO gUl Bey Kaar hOta hAi


Humara zoq juda,waqt ka mizaaj juda
Hum aik goshay main khud ko chupaye baithay hain.........!!!
Maine dariya se seekhi hai paani ki pardadaari
Ooper-OOper hanste rahna, gahraayi main ro lena.
too kabhii dard, kabhii shola, kabhii shabnam hai
tujhko kis naam se, ai ziist pukaaraa jaaye


yaad aaye to dil munawwar ho
deed ho jaaye to nazar mehke
Maine ik pal ko tera naam liya tha shayad
Neend naraz rahi raat meri aankhon say.......!!!

Usay kisi ki muhabbat ka Aitbaar nahiii,,
Usay Zamane ney shayed Bohat sataya Hai....
Hawa say bolna lekin sanmbhal kar
Chura lay gi sukhan khushboo tumhari.........!!!


Door reh kar bhi hoon ussi ki tarah,

Chaand se door chandni ki tarah,
Ussi ka naqsh hai ab tak mata e jaan mohsin

Hoi jis say mulaqat sar sari apni..........!!!!


Thursday, March 19, 2015



    1. Kabhee udaas kabhee dilfigaar pa k mujhay

      Galey lagaati rahee yaad-e-yaar ki Khushbu


jaane kis simt se aajaaye wo jaane waala 
hum ne har simt se deewar gira di ghar ki 

  1. BoHaT UjRa HoWa Dil Hay MaGer aPnA AQeeDa Hai,
    JaHaN MeHkeiN TeRi YaaDeiN Wo SeHrA Ho NaHi SaKta..!!!


  1. Kaha Tha Khawab Mat Dekho

    Ke In Ke Tootne Se

    Kirchiyaan Aankhon Main

    Chubhti Hain

    Phir Aankhein Khoon Roti Hain


  1. Be'KHiyaL Hasti kO KaAm Mein LaGa DiA
    HijHr Ki uDDaSi nE sHaAm kO SaJa DiA


  1. Usko pana to muqadar ki lakeeron men nahin.
    Uska khona bhi karen kaisa gavara mohsin?

  1. khalee hathon ko kabhi ghour se dekha hai faraz
    kis tarah log lakeeron se nikal jatey hain...........

Wednesday, March 18, 2015

Ye shab-e-firaq ye bae-basi, hain qadam qadam py udasiyaaN 
Meraa saath koi na dy sakaa meri hasratieN hain dhuaaN dhuaaN
gaahe-gaahe isse parhaa keeje
dil se behatar koee kitaab nahee'n