Basheer Badr

mujhe tumse mohabbat ho gayi hai
yeh duniya khoobsurat ho gayi hai

khuda se roz tumko maangta hoon
meri chahat ibaadat ho gayi hai

ghani palkon pe jugnu jhilmilaaye
kitaabon ki kitabat ho gai hai 

khuda mehboob shohar bal bachche
gazal dildaar aurat ho gai hai

woh chehra chaand hai aankhen sitaaren
zameen phoolon ki jannat ho gayi hai

bahut din se tumhe dekha nahi hai
chale bhi aao muddat ho gayi hai




tujh se mil kar zindgi kuch khoobsurat si lagi 

phool si bachchi ne meri haath se cheena gilaas
aaj aaj ammi ki tarah vo poori aurat si lagi 

aakhiri beti ki shaadi karke soi raat bhar 
subah bachchon ki tarah vo khoob surat si lagi

rotiyan kachchi pakin kapde bahut gande dhule 
mujhko pakistaaan ki is me sharaarat si lagi





Mujhe bhulaye kabhi yaad karke roye bhi
Wo apne aap ko bikhraye aur piroye bhi

Bahut ghubaar bhara tha diloN may dono ke
Magar wo ek hi bistar pe raat soye bhi

Bahut dino se nahaaye nahi hain aangan me
Kabhi to raah ki baarish hame bhigoye bhi

Ye tum say kisne kahaa raat se maiN dartaa huuN
Zaroor aaye mere bazuoN may soye bhi

Wo nojawaan to jawaani ki neend may gum tha
Bahut pukaara jhinjhoda lipat ke roye bhi


aa chaa.Ndanii bhii merii tarah jaag rahii hai 
palako.n pe sitaaro.n ko liye raat kha.Dii hai

ye baat ki suurat ke bhale dil ke bure ho.n 
allaah kare jhuuTh ho bahuto.n se suunii hai

vo maathe kaa matalaa ho ki ho.nTho.n ke do misare 
bachapan kii Gazal hii merii mahabuub rahii hai

Gazalo.n ne vahii.n zulfo.n ke phailaa diye saaye 
jin raaho.n pe dekhaa hai bahut dhuup ka.Dii hai

ham dillii bhii ho aaye hai.n laahaur bhii ghume 
ai yaar magar terii galii terii galii hai

जहाँ पेड़ पर चार दाने लगे
हज़ारों तरफ़ से निशाने लगे

हुई शाम यादों के इक गाँव में
परिंदे उदासी के आने लगे

घड़ी दो घड़ी मुझको पलकों पे रख
यहाँ आते आते ज़माने लगे

कभी बस्तियाँ दिल की यूँ भी बसीं
दुकानें खुलीं, कारख़ाने लगे

वहीं ज़र्द पत्तों का कालीन है
गुलों के जहाँ शामियाने लगे

पढाई लिखाई का मौसम कहाँ
किताबों में ख़त आने-जाने लगे

siyaahiyo.n ke bane harf harf dhote hai.n
ye log raat me.n kaaGaz kahaa.N bhigote hai.n

[siyaahii = ink; harf = words (letters of the alpahabet)]

kisii kii shah me.n dahaliiz par diyaa na rakho
kivaa.D suukhii hu_ii laka.Diyo.n ke hote hai.n

[dahaliiz = threshold; kivaa.D = door; laka.Dii = wood]

charaaG paanii me.n maujo.n se puuchhate ho.nge
vo kaun log hai.n jo kashtiyaa.N Dubote hai.n

[charaaG = lamp; mauj = wave; kashtii = boat]

qadiim qasbo.n me.n kyaa sukuun hotaa hai
thake thakaaye hamaare buzurg sote hai.n

[qadiim = old; sukuun = peace; buzurg = elders]

chamakatii hai kahii.n sadiyo.n me.n aa.Nsuo.n kii zamii.n
Gazal ke sher kahaa.N roz roz hote hai.n


एक चेहरा साथ साथ रहा जो मिला नहीं 
किसको तलाश करते रहे कुछ पता नहीं 

शिद्दत की धूप तेज़ हवाओं के बावजूद 
मैं शाख़ से गिरा हूँ नज़र से गिरा नहीं 

आख़िर ग़ज़ल का ताजमहल भी है मकबरा 
हम ज़िन्दगी थे हमको किसी ने जिया नहीं 

जिसकी मुखालफ़त हुई मशहूर हो गया 
इन पत्थरों से कोई परिंदा गिरा नहीं 

तारीकियों में और चमकती है दिल की धूप 
सूरज तमाम रात यहां डूबता नहीं 

किसने जलाई बस्तियाँ बाज़ार क्यों लुटे 
मैं चाँद पर गया था मुझे कुछ पता नहीं


कोई लश्कर है के बढ़ते हुए ग़म आते हैं
शाम के साये बहुत तेज़ क़दम आते हैं

दिल वो दरवेश है जो आँख उठाता ही नहीं 
इस के दरवाज़े पे सौ अहले करम आते हैं

मुझ से क्या बात लिखानी है कि अब मेरे लिये
कभी सोने कभी चाँदी के क़लम आते हैं

मैं ने दो चार किताबें तो पढ़ी हैं लेकिन 
शहर के तौर तरीक़े मुझे कम आते हैं

ख़ूबसूरत सा कोई हादसा आँखों में लिये
घर की दहलीज़ पे डरते हुए हम आते हैं

सँवार नोक पलक अबरूओं में ख़म कर दे 
गिरे पड़े हुए लफ़ज़ों को मोहतरम कर दे

ग़ुरूर उस पे बहुत सजता है मगर कह दो
इसी में उसका भला है ग़ुरूर कम कर दे

यहाँ लिबास, की क़मीत है आदमी की नहीं
मुझे गिलास बड़े दे शराब कम कर दे

चमकने वाली है तहरीर मेरी क़िस्मत की 
कोई चिराग़ की लौ को ज़रा सा कम कर दे

किसी ने चूम के आँखों को ये दुआ दी थी
ज़मीन तेरी ख़ुदा मोतियों से नम कर दे


नारियल के दरख़्तों की पागल हवा खुल गये बादबाँ लौट जा लौट जा 
साँवली सरज़मीं पर मैं अगले बरस फूल खिलने से पहले ही आ जाऊँगा

गर्म कपड़ों का सन्दूक़ मत खोलना वरना यादों की काफ़ूर जैसी महक
ख़ून में आग बन कर उतर जायेगी सुबह तक ये मकाँ ख़ाक हो जायेगा

लान में एक भी बेल ऐसी नहीं जो देहाती परिन्दे के पर बाँध ले
जंगली आम की जान लेवा महक जब बुलायेगी वापस चला जायेगा

मेरे बचपन के मन्दिर की वह मूर्ति धूप के आसमाँ पे खड़ी थी मगर 
एक दिन जब मिरा क़द मुकम्मिल हुआ उसका सारा बदन बर्फ में धँस गया

अनगिनत काले काले परिन्दों के पर टूट कर ज़र्दबानी को ढकने लगे
फाख़ता धूप के पुल पे बैठी रही रात का हाथ चुपचाप बढ़ता गया


हँसी मासूम सी बच्चों की कापी में इबारत सी
हिरन की पीठ पर बैठे परिन्दे की शरारत सी

वो जैसे सर्दियों में गर्म कपड़े दे फ़क़ीरों को
लबों पे मुस्कुराहट थी मगर कैसी हिक़ारत सी

उदासी पतझड़ों की शाम ओढ़े रास्ता तकती
पहाड़ी पर हज़ारों साल की कोई इमारत सी

सजाये बाज़ुओं पर बाज़ वो मैदाँ में तन्हा था
चमकती थी ये बस्ती धूप में ताराज ओ ग़ारत सी

मेरी आँखों, मेरे होंटों से कैसी तमाज़त है
कबूतर के परों की रेशमी उजली हरारत सी

खिला दे फूल मेरे बाग़ में पैग़म्बरों जैसा
रक़म हो जिस की पेशानी पे इक आयत बशारत सी



कोई फूल धूप की पत्तियों में हरे रिबन से बंधा हुआ ।
वो ग़ज़ल का लहजा नया-नया, न कहा हुआ न सुना हुआ 

। जिसे ले गई अभी हवा, वे वरक़ था दिल की किताब का, 
कहीँ आँसुओं से मिटा हुआ, कहीं, आँसुओं से लिखा हुआ । 

कई मील रेत को काटकर, कोई मौज फूल खिला गई,
कोई पेड़ प्यास से मर रहा है, नदी के पास खड़ा हुआ 

। मुझे हादिसों ने सजा-सजा के बहुत हसीन बना दिया, 
मिरा दिल भी जैसे दुल्हन का हाथ हो मेंहदियों से रचा हुआ ।

वही शहर है वही रास्ते, वही घर है और वही लान भी, 
मगर इस दरीचे से पूछना, वो दरख़्त अनार का क्या हुआ ।

वही ख़त के जिसपे जगह-जगह, दो महकते होटों के चाँद थे,
किसी भूले बिसरे से ताक़ पर तहे-गर्द होगा दबा हुआ...


Sahil Par Ruk Gaye The Jara Der Ke Liye,
Aankhon Se Dil Mein Kitne Samander Utar Gaye,
Jin Par Likhi Huyi Thi Mohabbat Ki Dastaa,
Woh Chak Chak Purje Hawa Mein Bikhar Gaye,
Paya Jo Muskarate Huye Kah Uthi Bahar,
Jo Jakham Pichhle Sal Lagaye Gaye The Bhar Gaye,
Mere Labon Par Chand Ke Tukde Laraj Gaye,
Aakhon Par Jaise Raat Ke Gesu Bikhr Gaye,
Talvo Par Jab Narm Dhoop Ne Gudgudi Si Kari,
Palko Par Soye Chandani Ke Khwab Dare…

Jakhm Yun Muskura Kar Khilate Hain,
Jaise Woh Dil Ko Chhu Kar Gujre Hain,
Dard Ka Chand Aansuon Ke Taare,
Dil Ke Aangan Mein Aaj Utre Hain,
Rakh Ke Dher Jaise Sard Makaan,
Chand Un Badliyon Mein Rahte Hain,
Aaino Ka Koi Kasur Nahi,
Unmein Apne Hi Photo Hote Hain,
Gour Se Dekh Khak Tanha Nahi,
Sath Phoolon Ke Rang Udhte Hain,
Unse Raat Ki Khabar Suno Sahab,
Badr Ji Raat Raat Ghume Hain…


Har Bejuban Gull Mein Mahkane Lage Hain Hum,
Pise Gaye Toh Aur Mahkane Lage Hain Hum,
Garibi Bura Nasha Hai Isi Ka Asar Na Ho,
Ab Baat Baat Par Jo Bahkane Lage Hain Hum,
Mitti Ki Baas Apne Sharir Ki Badan Ki Bandi Thi,
Yeh Tera Paas Aana Hai Ki Mahkane Lage Hain Hum,
Duniya Samajh Rahi Thi Ke Hum Raakh Ho Chuke,
Kaisi Hawa Chala Di Ke Dahkane Lage Hain Hum,
Jinki Jubane Kat Gayi Phoolo Ke Naam Par,
Un Bulbalon Ki Tarah Chahkane Lage Hain Hum…

Har Bejuban Gull Mein Mahkane Lage Hain Hum,
Pise Gaye Toh Aur Mahkane Lage Hain Hum,
Garibi Bura Nasha Hai Isi Ka Asar Na Ho,
Ab Baat Baat Par Jo Bahkane Lage Hain Hum,
Mitti Ki Baas Apne Sarir Ki Badan Ki Bandi Thi,
Yeh Tera Paas Aana Hai Ki Mahkane Lage Hain Hum,
Duniya Samajh Rahi Thi Ke Hum Raakh Ho Chuke,
Kaisi Hawa Chala Di Ke Dahkane Lage Hain Hum,
Jinki Jubane Kat Gayi Phoolo Ke Naam Par,
Un Bulbalon Ki Tarah Chahkane Lage Hain Hum…

Kabhi yoon mile koi maslhat
Koi khauf dil mein jara na ho
Mujhe apni koi khabar na ho
Tujhe apna koi pata na ho
Kabhi dhoop de kabhi badliyan
Dilo jaan se dono kabool hai
Magar us mahal mein na kaid kar
Jahan zindagi ki hawa na ho
Woh hajar baagon ka baag ho
Teri barkaton ki bahar ho
Jahan koi shakh hari na ho
Jahan koi phool khilta na ho…


Bhigi huyi aankhon ka yeh manjar na milega
Ghar chhod kar mat jaao kahin ghar na milega,
Fir yaad bahut aayegi julfon ki ghani shyam
Jab dhoop mein shaya koi sar par na milega,
Aansu ko kabhi os ka katra na samjhana
Aisa tumhe chahat ka samander na milega,
Is khwab ke mahol mein bekhwab hain aankhe
Jab neend bahut aayegi bistar na milega,
Yeh soch lo ab aakhiri saya hai mohabbat
Is dar se uthoge toh koi dar na milega…

Baat kya hai ke mashoor logon ke ghar
Mout ka sogh hota hai tyohar sa,
Jina jina utarta hua aaina
Uska lahja anokha khanak dar sa,
Woh aligad ki shamein kahan kho gayi
Ab woh shayar kahan hai tahardaar sa,
Apna range gajal uske rukhsar sa
Dil chamkane lagta hai rukhe yaar sa…


Pasina band kamre ki umas ka jajb hai usmein
Hamare touliye mein dhoop ki khusboo kahan hogi,
Kisi gumnam pathar par bahut se naam likh doge
Toh kurbani hamari is tarah se javidaan hogi,
Jamine toh meri apno ne sari ganva di hain
Magar yeh ek muthi khak khud apna nishaa hogi,
Samander buddhe ho jaayenge aur ek fahisha machhli
Hamare shahilon aur jamgalon ki hukmaran hogi



Is tarah saath nibhana hai dushwar sa
Main bhi talvar sa tu bhi talvar sa,
Khubsurat si paanvo mein janjirein ho
Ghar mein baitha rahu main giraftar sa,
Gudiya bachhe ko becha kharida gaya
Ghar sajaya gaya raat bazar sa,
Sham tak kitne haathon se gujrunga main
Chaykhano mein urdu ke akhbar sa,
Main fariston ki sohbat ke layak nahi
Hum safar koi hota gunahgar sa..


Dil chhalak utha aankh bhar aayi
Aaj t.v par woh khabar aayi,
In dukho mein teri yaad bhi kya
Jaisi titali pahad par aayi,
Apni maa ki tarah udas udas
Beti shadi ke baad ghar aayi,
Ab toh main bhi nazar nahi aata
Ya khuda konsi dagar aayi,
Tumne jo kiya sharafat mein
Woh nidamat bhi mere sar aayi…


Aandhiyon ke sath kya manjar suhane aaye hain
Aaj maidano mein bagon ke khajane aaye hain,
Ab mere pairon ke neeche ki jagah aajad hai
Upar se mujhe fariste bulane aaye hain,
Ret se dariya ante hain khak se jheelein pati
Yeh parinde khoon mein shayad nahane aaye hain,
Aaj hum sab ek behtar zindagi ki doud mein
Kaise kaise khwab kabron mein sulane aaye hain,
Char dushman aa mile hain raat ki chat ke tale
Muddaton ke baad fir agle jamane aaye hain…

Raat bhigi toh thake sahar ko yaad aane lage
Neend ke gaanv jo aabad hain palkon tale,
Doctor khwab ke nakhun the halahal mein bujhe
Hasba mamul badi jor se hum cheekh pade,
Jaise sachmuch ho badi neend mein us shokh ki yaad
Aisa seene mein bani leti hai aankhe meeche…

Phool sa kuch qalaam or sahi..

Bashir Badr Poetry

Phool sa kuch qalaam or sahi,
Ik ghazal us kay naam or sahi,
Us ki zulfien bohat ghaneri hain,
Ek shab ka qayam or sahi,
Zindagi kay udaas qissey hain,
Ek larki ka naam or sahi,
Kursiyon ko sunaiye ghazlien,
Qatal ki ek sham or sahi,
kapkapati hai rat seeney me,
zehar ka ek jaam or sahi.
Bashir Badr


Us ki chahat ki chandni ho gi..

Bashir Badr Poetry

Us ki chahat ki chandni ho gi,
Khoobsorat si zindagi ho gi,
Ek larki bohat sey phool liye,
Dil ki dehleez par khari ho gi,
Chahey jitney charagh gul kar do,
Us key ghar roshni to ho gi,
Neend tarsey gi meri ankhon me,
Jab bhi khawbon sey dosti ho gi,
Hum bohat door they magar tum ney,
Dil ki awaz to suni ho gi,
Sochta hun key wo kahan ho gi,
Kis key angan me chandni ho gi.
Bashir Badr


Khuda hum ko esi judai na dey..

Bashir Badr Poetry

Khuda hum ko esi Khudayi na dey,
Kay apney siwa kuch dikhai na dey,
Khatawar samjhey gi duniya tujhey,
Ab itni zayada safai na dey,
Hanso aj itna kay is shor me,
Sada siskiyon ki sunai na dey,
Ghulami ko barkat samjhney lagien,
Aseeron ko esi rihai na dey,
Khuda esey ehsas ka naam hai,
Rahey samney or dikhai na dey,
Mujhey esi jannat nahi chahiye,
Jahan sey madina dikhai na dey.
Bashir Badar


Aansuyon se dhuli khushi ki tarah..

Bashir Badr Poetry

Aansuyon se dhuli khushi ki tarah,
Rishtey hotey hain shayari ki tarah,
Door reh kar bhi hoon issi ki tarah,
Chaand se door chandni ki tarah,
Khoobsurat, udaas, khaufzada,
Woh bhi hai beesween sadi ki tarah,
Jab bhi kabhi badlon mein ghirta hai,
Chand lagta hai aadmi ki tarah,
Hum khuda ban ke ayen ge warna,
Hum se mil jao aadmi ki tarah,
Sab nazar ka fareb hota hai,
Koi hota nahin kissi ki tarah,
Janta hoon ke aik din mujh ko,
Woh badal de ga diary ki tarah,
Aarzu hai ke koi sher kahoon,
Khoobsurat teri gali ki tarah..


Woh bhi bohat akela hai shayed meri tarah..

Bashir Badr Poetry

Woh bhi bohat akela hai shayed meri tarah,
Us ko bhi koi chahney wala naheen milaa..


Na jee bhar ke dekha na kuch baat ki..

Bashir Badr Poetry

Na jee bhar ke dekha na kuch baat ki,
Barri arzoo thi hum ko mulaaqat ki..


Doosron ko hamari sazaayen na de..

Bashir Badr Poetry

Doosron ko hamari sazaayen na de,
Chandni raat ko bad’duyain na de,
Phool se aashqui ka hunar seekh le,
Titliyan khud rukain gi sadayen na de,
Motiyon ko chupaa sipiyon ki tarah,
Bewafaon ko apni wafayen na de,
Main bikhar jaaon ansuyon ki tarah,
Is qadar pyar se bad’duyain na de..


Agar talash karoon koi mil hi jaye ga..

Bashir Badr Poetry

Agar talash karoon koi mil hi jaye ga,
Magar kon tumhari tarah mujh ko chahy ga,
Tumhain zaroor koi chahton se dekhe ga,
Magar woh aankhain hamari kahan se laye ga,
Na jane kab tere dil per neyi si dastak ho,
Makaan khali hua hai to koi aye ga,
Main apni raah main deewar ban ke betha hoon,
Agar woh aaya to kis raste se aaye ga,
Tumhare sath yeh mausam farishton jaisa hai,
Tumhare baad yeh mausam bohat sataye ga..


Koi naa jaan saka woh kahan se aaya tha

Bashir Badr Poetry

Koi naa jaan saka woh kahan se aaya tha,
Aur us ne dhoop se baadal ko kyon milaya tha,
Yeh baat shayed logon ko pasand aayi nahin,
Makaa’n chota tha lekin bohat sajaya tha,
Woh ab wahan hai jahan raste nahin jate,
Main jis ke sath yahan pichle saal aya tha,
Suna hai us pe chehekne lage hain parindey bhi,
Woh aik pau’daa jo hum ne kabhi lagaya tha,
Chiragh doob gaye kapkapaye honton par,
Kisi ka hath hamare labo’n tak aya tha,
Badan ko chorr ke jana hai aasman ki taraf,
Samundro’n ne humain yeh sabaq parhaya tha,
Tamam umar mera da isi dhuyain mein ghutta,
Woh ik chiragh thaa meine usey bhujaya tha..


Jub Raat Ki Tanhayi Dil Ban Ke Dharakti Hai

Bashir Badr Poetry

Jub Raat Ki Tanhayi Dil Ban Ke Dharakti Hai
Yaadon Ke Jharokon Mein Chilman Si Sirakti Hai
Lobaan Mein Chingaari Jaisay Koi Rakh Jaaye
Yun Yaad Teri Shab Bhar Seenay Mein Sulagti Hai
Yun Pyaar Nahi Chhupta, Palkon Ke Jhukaanay Se
Aankhon Ke Lifaafon Mein Tehreer Chamakti Hai
Khush Rang Parindon Ke Lout Aanay Ke Din Aaye
Bichray Howay Miltay Hain, Jab Barf Pighalti Hai
Shohrat Ki Bulandi Bhi, Pal Bhar Ka Tamasha Hai
Jis Daal Pe Bethay Ho, Wo Toot Bhi Sakti Hai


Yeh chandni bhi jin ko choote huye darti hai

Bashir Badr Poetry

Yeh chandni bhi jin ko choote huye darti hai,
Duniya inhi phoolon ko pairon se masalti hai,
Shohrat ki bulandi bhi pal bhar ka tamasha hai,
Jiss daal pe bethe ho woh toot bhi sakti hai,
Lohaan mein chingaari jese koi rakh jaye,
Yu’n yaad teri shab bhar seene mein sulagti hai,
Ajata hai khud kheench kar dil seene se patrri per,
Jab raat ki sarhad se ik rail guzarti hai,
Aansu kabhi palkon per ta-dair nahin rukte,
Urr jate hain yeh panchi jab shaakh lachakti hai,
Khush rang parindon ke laut aaney ke din aye,
Bichrre huye milte hain jab baraf pighalti hai..


Ab hai toota sa dil khud se bezaar sa

Bashir Badr Poetry

Ab hai toota sa dil khud se bezaar sa
Iss haweli mein lagta tha darbaar sa
Iss tarah saath nibhana hai dushwaar sa
Main bhi talwaar sa tu bhi talwaar sa
Khubsurat se paaon mein zanjeer ho
Ghar mein baitha rahun main giraftaar sa
Gudiya gudde ko becha gaya kharida gaya
Ghar sajaya gaya raat, bazaar sa
Shaam tak kitne hathon se guzrunga
Chaye khanon mein uddi ke akhbar sa
Main farishton ki mohbbat ke layek nahi
Hamsafar koi hota gunahgaar sa
Baat kya hai ke mash’hoor logon ke ghar
Maut ka sog hota hai teohaar sa
Zeena zeena utarta hua aaiina
Usska lehja anokha khankhdaar sa


Vo aligarh ki shaamein kahan kho gayi
Ab vo shayar kahan hai tarahdaar sa

No comments: