Saturday, November 9, 2013

 Hath aankho'n pe rakh lainay se khatra nahee'n jata
deewar se bhonchal ko roka nahee'n jata

da'avo'n ki tarazoo mai to azmat nahee'n tul'tee
feetay se to kirdar ko naapa nahee'n jata

chor apne gharo'n mai to nahee'n naqab lagatay
apni hi kamai ko to loota nahee'n jata

auro'n k khayalaat ki laite hain talashi
aur apne gareebaan mai jhanka nahee'n jata

zulmat ko ghata kehne se baarish nahee'n hoti
sho'alo'n ko hawaao'n se to dhanpa nahee'n jata

toofan mai ho naawo to kutch sabr bhi aajaye
sahil pe kharay ho k to dooba nahee'n jata

Allah jisay chahay usay milti hai MUZAFFAR
izazat ko dukano'n se klharida nahee'n jata



Kisi ki aas ban kar phir usse tanha nahi karna
Bhalay kuch bi pare karna magar aisa nahi karna

Khabar kia kis ghari wo raakh kar dale tere sapne
Yun hi jalte shararon se kabhi khela nahi karna

Na ho aisa ke yadein Rooh ka Sartan ban jayen
Kabhi had se ziyaada tum usse socha nahi karna

Mohabat mian shikayat ka kahan dastoor hota hai
Gila kar ke mohabat ko kabi ruswa nahi karna

Wafain Dar haqeeqat be panah Anmol hoti hai
Kabi apni wafaon ka sila maanga nahi kar

Kahi aisa na ho wo apni manzil ka nishaan kho de
Kisi ka sath raste mian kabi chora nahi karna...!!!!




Dil bhulata nahi hai mohabbaten uski
Pari hui theen mujhe kitni aadaten uski

Yeh mera safar uski khushbuon main guzra
Mujhe to raah dikhati theen chahaten uski

Door hone laga hon to aisa lagta hai
Ke chaaon jesi theen mujh par rafaqaten uski

Yeh kis gali main,yeh kis shehar main nikal aaye
Kahan pe reh gayen logon sadaqaten uski

Main barishon main juda ho gaya hon us se magar
Yeh mera dil meri saansen hain amaanaten uski...



____________________________________



Kuch Raat Ki Aankhain Bhegi Thein,
Aur Chand Bhi Rootha Rootha Tha,
Khuch Yaadain Us ki Baaqi Thein,
Aur Dill Bhi Toota Toota Tha

,Kiss Morr Pe Bichre Yaad Nahi,
Honton Pe Koi Faryaad Nahi,
Us Wade Ki Bhi Khabar Nahi,
Wo Sacha Tha Ya Jhota Tha,

Har Lamha Aahain Bharte Hain,
Na Jeete Hain,Na Marte Hain,
Bas Aik Dua Ye Krte Hain
Wo Laot K Wapas Aa Jae..
!Wo Laot K Wapas Aa Jae

____________________________________________________________


Ye kasak dil ki dil main chubhi rah gayi
Zindgi main tumahri kami rehgayi.

Ek main ek tum ek deewaar thi
Zindgi aadhi-aadhi banti rah gayi.

Raat ki bhegi-bhegi chaton ki tareh
Meri palkon pe thori nami rah gayi.

Maine roka nahin wo chala bhi gaya
Bebasi door tak dekhti rah gayi.

Mere ghar ki taref dhoop ki peeth thi
Aate-aate idher chandni rah gayi.

_____________________________________

Bharosa toot janay se zara pahlay bata daina
Mujhay tum azmanay se zara pahlay bata daina

Kisi heelay bahanay se zara pahlay bata daina
K mujh ko tum bholanay se zara pahlay bata daina

Zamin ke rait pe tum ne mohabbat se likhi thi jo
Woh tahrerain mitanay se zara pahlay bata daina

Mairay dilber k is dill pr main rakh loon zabt ka pathar
Suno daman churanay se zara pahlay bata daina

Kisi bhe mor pe Mohsin bura pao agar mujh ko
Bharosa toot janay se zara pahlay bata daina

_________________________________________________



بارے مُدت کے یہ ہُنرآیا…………….baray muddat k yeh hunar aaya
میری باتوں میں کُچھ اثر آیا……….meri batoN maiN kutch asar aaya

ختم ہونے کو یہ سفرآیا……………khatm honay ko yeh safar aaya
"ہر طرف سے میں بے خبر آیا".…”her taraf say maiN be khabar aaya”

کون کہتا ہے رستہ مُشکل ہے…...kaun kehta hai rasta mushkil hai
دیکھئے میں بھی تو گُذر آیا………dekhiay maiN bhi tou guzar aaya

اب تو باری ہے میرے دُشمن کی..ab tou baari hai meray dushman ki
جو بھی کرنا تھا میں وہ کر آیا…...jo bhi jerna tha maiN tou ker aaya

دم ہے اٹکا ہُوا ابھی جس میں…...dum hai atka hua abhi jis maiN
اُس نے آنا تھا وہ نہ پر آیا………….us nay aana tha, who na per aaya

آنکھ تو اُس کے دُکھ میں روئی تھی.aaNkh tou uskay gham maiN royee thi
دل بھی جانے مرا کیوں بھر آیا……dil bhi janay mra kyuN bhar aaya

مُجھ کو رستہ دیا ہے دریا نے……..mujh ko rasta dya hai derya nay
میرے رستے میں جو بھنور آیا……meray rastay maiN jo bhaNwar aaya

جس کے جانے کا تھا بُہت چرچا...jis kay janay ka tha charcha bohat
آج چُپکے سے میرے گھر آیا………aaj chupkay say meray ghar aaya

میرے ہونے سے تھا حجاب اُس کو.meray honay say tha hijaab usko
میرے جاتے ہی بن سنور آیا……….meray jatay hi who saNwar aaya

یہ تو رستہ ہے سیدھا جنت کا……yeh tou rasta hai seedha jannat ka
مولوی تُو ، ادھر ، کیدھر آیا….…..maulvi, too idhar kidhar aaya

جیسے قابض ہوا تھا سوچوں پر…jaisay qabiz hua tha sochoN per
مری دل میں بھی یوں ہی در آیا…meray dil maiN bhi yuNhi dar aaya

مُجھ کو اس بات کا ہی دھڑکا تھا..mujh ko is baat ka hi DhaRka tha
آج وہ بھی وہیں نظر آیا……………aaj who bhi wahiN nazar aaya

جب کہیں بھی اُسے پناہ نہ ملی…jab kahiN bhi usay panah na mili
چاند چھت پہ مری ، اُتر آیا………...chand chat pa mri utar aaya

مُجھ کو بھیجا گیا تھا دُنیا میں….…mujh ko bheja gya tha dunya maiN
کون کہتا ہے میں سُدھر آیا……….kaun kehta maiN sudhar aaya

دھُوپ لپٹی صبا کے قدموں میں…dhoop lipti SABA kay qadmoN maiN
آج اوڑھے جو وہ شجر آیا………....aaj oaRhay jo who shajar aaya

________________________________________________

kahin say tera sath le aaoon,
wasl ki chand raat le aaoon.


bath jaoon kisi dohraya per,
mang kar tayra hath lay aaoon,


kitni sadiyon kay bad bolon mein,
lab pay ik tere hi baat lay aaoon.

apni ankhon ki band galiyon say,
ansoon ki barat lay aaoon.

itni pooja karon kay mein ik din,
apni zaat mein tari zaat lay aaoon


_________________________________________________

Tez Jhonka Na Seh Saka Patta, 
Shaakh Se Toot Kar Gira Patta, 


Zard Roo Sa Muda Tuda Patta, 
Aye Aandhi Hua Hawa Patta, 


Main Bhi Tha Zeb-E-Gul Hara Patta, 
Zer-E-Pa Hai Ye Keh Raha Patta, 


De Slaa Rabt Pair Se Rakhna, 
Fasl-E-Gul Ka Yeh Gamzada Patta, 


Besaharon Ki Zindagi Jaise, 
Pair Ke Saaye Mein Pada Patta, 


Hum Bhi Ra'na The Yun Kabhi, 
Jaise Gulzaar Ka Hara Patta...


____________________________________________


raat charaaGhoN kii mahfil meN, shaamil ek zamaana thaa
lekin saath meN jalne vaalii, raat thii yaa parwaanaa thaa

Khizr nahiiN rahzan hii hogaa, raah meN jis ne looT liyaa
lekin yaaro shak hotaa hai, kuchh jaanaa pahchaana thaa

shab bhar jis rudaad-e-alam par, ashk bahaate guzarii thii
subah hu_ii to hamne jaanaa, apnaa hii afsaanaa thaa

kaun hamaare dard ko samjha, kisne Gham meN saath diyaa
kahne ko to saath hamaare, tum kyaa, ek zamaanaa thaa

log isey jo chaahe kah leN, apnaa to ye haal rahaa
sirf unhiiN se zaKhm mile haiN, jin se kuchh yaaraana thaa

maslahtoN kii is bastii meN, lab khulte, yah taab naa thii
vaz'a junooN kii baat na poochho, vo bhii ek bahaana thaa

talKhi-e-Gham pahuNche the bhulaane, sood-o-ziyaaN meN uljhe haiN
baadaa_faroshoN kii maNDii thii, naam magar mai_Khaanaa thaa

nabz kii Khaatir ham ne apnaa, zauq-e-talab badnaam kiyaa
aaj vahii kahte haiN haNs kar, shaayar thaa, diivaanaa thaa

______________________________________________


Ek zinda laash hoon is tareh yaron ke beech
Koi be-mallah kashti jaise majhdaaron ke beech.

Lamha-lamha chad rahi hai soch ki gahri nadii
Sayaa-sayaa kat rahi hai, raat kohsaron ke beech.

Chorr ker jaaun kahan ab zaat ka andha hisaar
Surkhiyan mujhko bulaati to hain akhbaaron ke beech.

Kis liye chiin-ber-jamin ho haath main pather liye
Kaun hai masoom bolo, hum gunaahgaaron ke beech.

Apne paiker se bichad ker fir rahaa hoon der-b-der
Main to eksaaya hoon ' Khalid' serd baazaaron ke beech.

________________________________________________

Aakhree baat adhoori hi rahi
Teri majboori majboori hi rahi

Hamari bat kabhi suni hi nahi
Tumhari baat zaroori hi rahi

Main hun woh girftar e jabar
Jis ki zamaanat aboori hi rahi

Main ho bhi gaya khaak to kia
Tumhari maang sindoori hi rahi

_____________________________


Usey yeh shouq hai mohabbat ki bheek main mangoon


Meri yeh zid ke taqaza mera usool nahi


Usey yeh shouq ke uski sari zidain hon poori


Meri yeh zid kr ruswai mujhe qubool nahi


Usey yeh shouq ke saari chahat usey doon aur woh lota dey


Meri yeh zid ke meri chahat itni bhi fazool nahi


Usey yeh shouq ke kantey na lagen haathon mein


Meri yeh zid ke qismat mein sirf phool nahi


Usey yeh shouq ke hans ke sahon sari takleefain


Meri yeh zid ke mera pyar koi urti hui dhool nahi

______________________________________________

Tere aane kaa dhokhaa saa rahaa hai
diyaa saa raat bhar jalataa rahaa hai

Ajab hai raat se aankhon kaa aalam
ye dariyaa raat bhar charhataa rahaa hai


Sunaa hai raat bhar barasaa hai baadal
magar wo shahar jo pyaasaa rahaa hai

Wo koii dost thaa achchhe dinon kaa
jo pichhalii raat se yaad aa rahaa hai

Kise dhoondhoge in galiyon men "Nasir"
chalo ab ghar chalen din jaa rahaa hai

______________________________________

Ankhon Se Meri Iss Liay Lali Nahi Jati..
Yadoon Se Koi Raat bhe Khali Nahi Jati..

Ab Omar' Na Mosam' Na Wo Rasty K Palat-Tay..
Iss Dil Ki Magar Kham Khiyali Nahi Jati..

Aey Koi Akar Ye Tery Dard Sanbhaly..
Hum Se To Ye Jageer Sanbhali Nahi Jati..

Malom Humay Bhe Han Bohat Se Tery Qisay..
Har Baat Teri Hum Se Ochali Nahi Jati..

Humrah Tery Phool Khilaty Thay' Jo Dil Main..
Abb Sham Wohi Dard Se Khali Nahi Jati..

Hum Jaan Se Jayan Gay Tabhe Baat Banay Gi..
Tum Se To Koi Rah Nikali Nahi Jati..

_____________________________________________

Ujhre Howe Logo Se Gureza Na Howa Ker
Halat ki qabron k ye qutbay bhi parha ker


Na jane kien teez hawa soch mein gum hai
Khawabida perindo ko darakhto se urha ker

Us shakas k tum se mirasam hein to hungay
Wo jhoot na bole ga mere samane a ker

Ab dastagain day ga to kaha ay gham e ahbab
Main ne to kaha tha mere dil mein raha ker

Her waqat ka hansna tuje barbaad na ker day
Tanhai k lamho mein kabhi ro bhi liya ker

Wo aaj bhi sadio ki musafat pay khara hai
Dondhta tha jise waqat ki diwar gira ker

Barham na ho kam fehmi kota nazar per
Ay qamat e fun apni bulandi ka qila ker

Ay dil tuje dushman ki bhi pehchan kaha hai
Tu halq e yaara mein bhi muhtat raha ker


Pehlay sa kaha meri raftar ka alam
Ay gardish e dora zara tham tham k chala ker

Is raat mein kaha phool khilain gay dil e nadaa
Zakhmo ko he wabasta zanjeer e saba ker

Ik rouh ki fariyad ne chonka diya muj ko
Tu ab to muje jism k zindan se raha ker


Is shab k muqadar mein sehar he nahi Mohsin
Dekha hai kai baar chiragho ko bujha ker

____________________________________________

Shola-e-ishq bujhaanaa bhii nahiin chaahtaa hai
vo magar Khud ko jalaanaa bhii nahiin chaahtaa hai.


Us ko manzuur nahiiN hai mirii gumraahii bhii,
aur mujhe raah pe laana bhii nahiin chaahtaa hai.


Sair bhii jism ke sehraa kii Khush aatii hai magar,
der tak Khaak uRaanaa bhii nahiin chaahtaa hai



Kaise us shaKhs se tabiir pe israar kareN
jo koii Khwaab dikhaana bhii nahiin chaahtaa hai.



Mere lafzon mein bhii chhuptaa nahiin paikar us ka,
dil magar naam bataana bhii nahiiN chaahtaa hai.

____________________________________________

kuch yaadgar-e-shehar-e-sitam hi le chalain
aae hain is gali main to pather hi le chalain

yoon kis tarha kate ga karri dhoop k safar
sar par khayal-e-yaar ki chaader hi le chalain

ranj-e-safar ki koe nashani to paas ho
thori c khaak-e-kucha'e dilbar hi le chalain

y keh k cherrati he hamain dil ki kriftagi
gabhra gae hain aap to bahar hi l calain

is sahre be charagh main lae gi tu kahan
aa ae shab-e-faraq'tujay gar hi le chalain

by
nasir kazmi

_________________________________________


Barishain tham gayein dukh barasnay lagay aainay dhul gaye aur hawa chal pari
neend main dagmagaty huway saye khwaboN main chlny lagy aur hawa chal pari

chand se aik bichri kirn baam o dar ki udaasi pe ik naam likhti rahi
raat bhr khirkiyaaN band karky yunhi loog sooty rahay aur hawa chal pari

koi aahat huwi, aany waly musafir ko dekha nahi, dhool urnay lagi
deep phailay huway rastooN per abhi to jalay bhi na thy aur hawa chal pari

ab k badal bhari bastiyooN ki hadooN se guzrty huway janay kya keh gaye
shaak dar shaakh bethay parinday bhi ghar chooR kr uR gaye aur hawa chal pari

door jaty mawaishi galay main paRi ghantiyooN ki sadaaoN pe hansty rahay
us purani haveli main jaga koi, wo dareechay khulay aur hawa chal pari

meray khaitooN main sona ugalti huwiiN saari faslain teh e khaak jalnay lagi
barishooN ki dua maangny k liye hath uThay hi thy aur hawa chal pari

jany kya baat thi hum kitabooN k safhay ultay rahay, habs barhta raha
phir achanak kisi naam per be-iradah hi lab rakh diye aur hawa chal pari

_______________________________________________

Theher Jaye, Magar Raat Katay
Koi Soorat Ho Ke Barsaat Katay

Khushbuuain Mujhko Qalam Karti Gayin
Shaakh Dar Shaakh Mere Haath Katay

Mouj-e-Gul Hai Ke Talwaar Koi
Darmiaan Se Hee Manajaat Katay

Harf Kiun Apne Ganwayein Jaa Kar
Baat Se Phele Jahan Baat Katay

Chaand ! Aa Mil Ke Manayein Ye Shab
Aaj Ki Raat Tere Saath Katay

Pooray Insaanon Mein Ghus Aayein Hain
Sar Katay, Jism Katay, Zaat Katay

_____________________________________

Aa ki merii jaan mein qaraar nahiin hai 
taaqat-e-bedaad-e-intazaar nahiin hai.

Dete hain jannat hayaat-e-dahar ke badale
nashshaa baa_andaazaa-e-Khumaar nahiin hai.

Giriyaa nikaale hai terii bazm se mujh ko
haaye! ki rone pe ikhtiyaar nahiin hai.

Ham se abas hai gumaan-e-ranjish-e-Khaatir
Khaak mein ushshaq kii Gubaar nahiin hai.

Dil se uthaa lutf-e-jalvaa haaye maanii
Gair-e-gul aaiinaa-e-bahaar nahiin hai.

Tuu ne qasam maikashii kii khaaii hai 'Ghalib'
terii qasam ka kuchh aitabaar nahiin hai. 

_______________________________________

Meri Zindagi Ko Ik Tamasha Bana Diya Us Ne
Bhari Mehfil Me Tanha Bitha Diya Us Ne,
,
Aisi Kya Nafrat Thi Usay Is Masom Dil Se
Khushian Chura Kar Gham Thama Diya Us Ne,
,
Bohat Naaz Tha Us Ki Wafa Pe Kabhi Ham Ko
Mujh Hi Ko Meri Nazaron Me Gira Diya Us Ne,
,
Khud Bewafa Tha Meri Wafa Ki Qadr Kia Karta
Anmol Tha Main Khak Me Mila Diya Us Ne,
,
Kisi Ko Yaad Krna To Us Ki Fitrat Me Nahi
Hawa Ka Jhonka Smajh Kar Bhula Diya Us Ne,


________________________________________________

~Aye Raat Sony Dy Youn Tang Na Kia Kr,,


Bekaar Sawalon Main Paband Na Kia Kr_,,

Iss Ke Siwa Aur Bhi Zamany Ke Kaam Hain,,


Tu Mere Khayalat Be_Dhang Na Kia Kr_,,

Dunia Main Aur Log Bhi Basty Hain Tanha,,


Tu Sirf Mere Sath Hi Jang Na Kia Kr_,,

Aey Raat Sony Dy Youn Tang Na kia kr_,,


Mazboot hon, pr itni bhee nahi hon,,

Dunia ke sabhi gham to mere sang na kia kr_,,


Aey Raat Sony Dy,, Youn Tang Na Kiya Kar..~


___________________________________________

Jo khayal they na qayas they wohi log mujh sey bichar gaye 
jo mohabbaton ki asaas they wohi log mujh sey bichar gaye 

Jinhain maanta hi nahi ye dil wohi log merey hain hamsafar 
mujhey har terha sey jo raas they wohi log mujh sey bichar gaye 

Mujhey lamha bhar ki rifaqaton key saraab bohat satayen gey 
meri umr bher ki jo pyaas they wohi log mujh sey bichar gaye 

Ye jaal sarey hain aarzi ye gulaab sarey hain kaghzi 
gul-e-arzoo ki jo baas they wohi log mujh sey bichar gaye 

Jinhain ker saka na kubool mai wohi shareek-e-raah safer huey 
jo meri talab meri aass they wohi log mujh sey bichar gaye 

Meri dharkanon key kareeb they meri chah they mera khuaab they 
wo jo roz-o-shab merey pass they wohi log mujh sey bichar gaye


[Aitbaar Sajid]


______________________________________________

aas hogii na aasaraa hogaa
aane vaale dinoN my kyaa hogaa

mai tujhe bhuul jaauN gaa ik din
vaqt sab kuchh badal chukaa hogaa

naam ham ne likhaa thaa aaNkhoN may
aansuuoN ne miTaa diyaa hogaa

aasamaN bhar gayaa parindoN sey
peid koii haraa giraa hogaa

kitanaa dushvaar thaa safar us kaa
vo sar-e-shaam so gayaa hogaa

by
Amjad Islam Amjad


_________________________________________________



No comments: