Friday, November 22, 2013

Jashn-e-Ghalib in 1969 at Mumbai (Sahir ka akhraj Ghalib ko)


Sahir Ludhyianvi's poem entitled "Jashn-e-Ghalib" which
 he recited in Ghalib Centenary function held
 in 1969 at Mumbai's Saboo Siddik Polytechnic Ground.
 In this mushaera, the then Prime Minister of India Mrs. Indira Gandhi was present.

Ekkees baras guzre azadi-e- kaamil ko
Tab jaa ke kahin hum ko Ghalib ka khayal aaya

Turbat thi kahan uski maskan tha kahan uska
Ab apne sukhan parwar zehno-n men sawal aaya

Sau saal se jo turbat chaadar ko tarasti thi
Ab uspe aqeedat ke phoolo-n ki numayish hai

Urdu ke taa'luq se kuchh bhed nahin khulta
Yeh jashn ye hungama khidmat hai ke saazish hai

Jin shehro-n men goonji thi Ghalib ki nava barso-n
Un shehro-n men ab Urdu be-naam-o-nisha-n thehr
Aazadi-e-kaamil ka Elan hua jis din
Maa'toob zaba-n thehri
Ghaddar zaba-n thehri
Jis ehd-e-siyasat ne yeh zinda zaba-n kuchli
Us ehd-e-siyasat ko marhoomo-n ka gham kyun hai

Ghalib jise kehte hain Urdu hi ka shayer tha
Urdu pe sitam dhaa ke Ghalib pe karam kyun hai

Yeh jashn ye hungaame dilchasp khilone hain
Kuchh logo-n ki kha'ahish hai kuchh log bahel jaaye-n

Jo vaada-e-farda par ab tal nahin sakte hain
Mumkin hai kuchh arsa is jashn pe tal jaayen

Yeh jashn mubarak ho par yeh bhi sadaqat hai
Hum log haqeeqat ke ehsaas se a'ari hain

Gandhi ho ki Ghalib ho insaaf ki nazro-n men
Hum dono-n ke qaatil hain dono-n ke pujari hain

No comments: