Tuesday, December 3, 2013

Ashk Aankhon Mein Chhupatay Howay Thak Jata Hun
Bojh Paani Ka Uthaatay Howay Thak Jaata Hun

Paon Rakhtay Hain Jo Mujh Per Unhain Ehsaas Nahi
Mein Nishaanaat Mitaatay Howay Thak Jaata Hun

Barf Aisi Ke Pighalti Nahi Paani Ban Kar
Pyaas Aisi Ke Bujhaatay Howay Thak Jaata Hun

Achi Lagti Nahi Is Darja Shanasaayi
Haath Haathon Se Milaatay Howay Thak Jaata Hun

Gham Gusaari Bhi Ajab Kaar-e-Mohabbat Hai Ke Mein
Ronay Waalon Ko Hansaatay Howay Thak Jaata Hun

Itni Qabrain Na Banao Mere Andar “Mohsin”
Mein Charaaghon Ko Jalaatay Howay Thak Jaata Hun






Dafan Hain Mujh Main Sorishain Kitni
Dil Ki Soorat Khamoosh Waadi Hoon

Shoq Se Tark-e-Dosti Kar Le
Main Teri Nafraton Ka Aadi Hoon…….!!




Socha tha aik khawb jo dekha nahin geya,
Phir us ke baad umar bhar soya nahin geya,
Kuch main bhi khudpasand tha kuch woh bhi be’niaz,
Toota to phir woh silsilaa jorra nahin geya,
Jab bhi mila, mila woh mujhe aayina badast,
Mujh se zeyada dair yeh dekha nahin geya,
Sompi thi jis ko khayal ki saari amaantain,
Us se mera khayal bhi rakha nahin geya,
Awaargi bhi sath rahi umar bhar Ataa,
Manzil ki simt main kabhi tanhaa nahin geya..

Ataa ul Haq Qasmi

Assar mujh per kare gi kya,Kisi gulzaar ki khushbu,
Mere dil mein to rehti hai,Tumhari yaaad ki khushbu,

Tujhe bezaar karti hai dil e abad ki khawhish,
Mujhe abaad rakhti hai dil e barbaad ki khushbu,

Tere aney ke waadey per yeh kesa ratjaga sa hai,
Mujhe soney nahin deti tere irshaad ki khusbhu,

Woh jitne zakham deta hia mujhe sab phool lagte hain,
Mujhe mashoor rakhti hai sitam ki khushbuu,

Jahan dekho sara mohabbat se moater hai,
Kahin sheerin ki khusbu hai kahin farhaad ki khusbu..

khulta nahin hai hal kisi par kahe bagair
par dil ki jan lete hain dilbar kahe bagair
main kyunkar kahun tum ao k dil ki kashish se wo
ayenge daure ap mere ghar kahe bagair
kya tab kya majal hamari k bosa len
lab ko tumhare lab se milkar kahe bagair
bedard tu sune na sune lek dard-e-dil
rahta nahin hai ashiq-e-muztar kahe bagair
taqdir k siwa nahin milta kahin se bhi
dilawata ai ?Zafar? hai muqaddar kahe bagair

Friday, November 29, 2013

Kahaaniyaa.N Bhii Ga_ii.N Qissaa_Khvaaniyaa.N Bhii Ga_ii.N
Vafaa Ke Baab Kii Sab Bezubaaniyaa.N Bhii Ga_ii.N

Vo Beziyaabii-E-Gam Kii Sabiil Bhii Na Rahii
LuTaa Yuu.N Dil Kii Sabhii Be-Sabaatiyaa.N Bhii Ga_ii.N

Havaa Chalii To Hare Patte Suukh Kar TuuTe
Vo Subah Aa_ii To Hairaa.N_numaa_iiyaa.N Bhii Ga_ii.N

Ve Meraa Cheharaa Mujhe Aa_iine Me.N Apanaa Lage
Usii Talab Me.N Badan Kii Nishaaniyaa.N Bhii Ga_ii.N

PalaT PalaT Ke Tumhe.N Dekhaa Par Mile Bhii Nahii.N
Vo Ahad-E-Zabt Bhii TuuTaa Shitaabiyaa.N Bhii Ga_ii.N

Mujhe To Aa.Nkh Jhapakanaa Bhii Thaa Garaa.N Lekin
Dil-O-Nazar Kii Tasavvur_shi’aariyaa.N Bhii Ga_ii.N




Kabhii Ai Haqiiqat-E-Mu.Ntazir Nazar Aa Libaas-E-Majaaz Me.N
Ke Hazaaro.N Sajde Ta.Dap Rahe Hai.N Terii Jabiin-E-Niyaaz Me.N

Tarab Aashanaa-E-Kharosh Ho Tuu Navaa Hai Maharam-E-Gosh Ho
Vo Suruur Kyaa Ke Chhaayaa Huaa Ho Sukuut-E-Pardaa-O-Saaz Me.N

Tuu Bachaa Bachaa Ke Na Rakh Ise Teraa Aa_iinaa Hai Vo Aa_iinaa
Ke Shikastaa Ho To Aziiz Tar Hai Nigaah-E-Aa_iinaa-Saaz Me.N

Dam-E-Tauf Kar Mak-E-Shammaa Na Ye Kahaa Ke Vo Asr-E-Kohan
Na Terii Hikaayat-E-Soz Me.N Na Merii Hadiis-E-Gudaaz Me.N

Na Kahii.N Jahaa.N Me.N Aman Milii Jo Aman Milii To Kahaa.N Milii
Mere Jurm-E-KhaanaaKharaab Ko Tere Azo-E-Ba.Ndaa-Navaaz Me.N

Na Vo Ishq Me.N Rahii.N Garmiyaa.N Na Vo Husn Me.N Rahii.N ShoKhiyaa.N
Na Vo Gazanavii Me.N Ta.Dap Rahii Na Vo Kham Hai Zulf-E-Ayaaz Me.N

Jo Mai.N Sar-Ba-Sajdaa Kabhii Huaa To Zamii.N Se Aane Lagii Sadaa
Teraa Dil To Hai Sanam-Aashanaaa Tujhe Kyaa Milegaa Namaaz Me.N




Mohabbat Ka Junuu.N Baaqii Nahii.N Hai
Musalamaano.N Me.N Khuun Baaqii Nahii.N Hai

Safe.N Kaj, Dil Pareshan, Sajdaa Bezuuk
Ke Jazabaa-E-A.Ndruun Baaqii Nahii.N Hai

Rago.N Me.N Lahuu Baaqii Nahii.N Hai
Wo Dil, Wo Aawaaz Baaqii Nahii.N Hai

Namaaz-O-Rozaa-O-Qurbaanii-O-Haj
Ye Sab Baaqii Hai Tuu Baaqii Nahii.N Hai


Nahii.N Minnat-Kash-E-Taab-E-Shaniidan Daastaa.N Merii
Khaamoshii Guftaguu Hai, Bezubaanii Hai Zabaa.N Merii

Ye Dastuur-E-Zabaa.N-Ba.Ndii Hai Kaisii Terii Mahafil Me.N
Yahaa.N To Baat Karane Ko Tarastii Hai Zabaa.N Merii

UThaaye Kuchh Varaq Laalaa Ne Kuchh Naragis Ne Kuchh Gul Ne
Chaman Me.N Har Taraf Bikharii Hu_ii Hai Daastaa.N Merii

U.Daa Lii Kumariyo.N Ne Tuutiyo.N Ne A.Ndaliibo.N Ne
Chaman Vaalo.N Ne Mil Kar LuuT Lii Tarz-E-Fugaa.N Merii

Tapak Ai Shama Aa.Nsuu Ban Ke Paravaane Kii Aa.Nkho.N Se
Saraapaa Dard Huu.N Hasarat Bharii Hai Daastaa.N Merii

Ilaahii Phir Mazaa Kyaa Hai Yahaa.N Duniyaa Me.N Rahane Kaa
Hayaat-E-Jaavidaa.N Merii Na Marg-E-Naagahaa.N Merii

Thursday, November 28, 2013

Be Noor Ankhon Mein Koi Khuwab To Do,

Be Noor Ankhon Mein Koi Khuwab To Do,
Meri Beqarar Raaton Ka Kuch Hisab To Do,

Tum Khafa Ho Mujhse Laikin Phir Bhi Agar,
Ho Sakay Mere In Sawalon Ka Jawab To Do,

Hum Ne Jis Mein Likhay Thay Kuch Waday,
Agar Mumkin Hai Toh Meri Woh Kitab To Do,

De Nahi Saktay Agar Pyaar Toh Aisa Karo,
Gham Do, Zehar Do, Sharab To Do,

Jis Mein Bheeg Jaye Mere Dil Ki Duniyaan,
Aisa Koi In Aankhon Mein Sailab To Do,

Kabhi Tum Kaha Kartay Thay K Ap Buhat Achay Ho,
Ab Bura Hi Sahi Magar Koi Khitab To Do.....!!!!






Mujh Ko Ruswa Sare Mehfil To Na Kerwaya Kare

Mujh Ko Ruswa Sare Mehfil To Na Kerwaya Kare
Kaash Ansoo Meri Ankhon Mai Hi Reh Jaaya Kare

Ai Hawa Maine To Bas Uska Pata Poochha Thaa
Ab Kahaani To Na Har Baat Ki Ban Jaaya Karey

Bas Bahut Dekh Liye Khwaab Sunaahrey Din Ke
Ab Wo Baton Ki Rifaqat Se Na Behlaaya Karey

Ik Museebat To Nahee Tootee Hai So Is Dil Per
Jis Qayamat Ne Guzarna Hai Guzar Jaaya Karey

Dil Ne Ab Soch Liyaa Hai Ke Yeh Zalim Duniaa
Jo Bhi Kerna Hai Karey Mujh Ko Na Uljhaya Karey

Jis Ke Khwabon Ko Mai Aankhon Mai Saja Ker Rakkhoon
Uski Khushboo Kabhi Mujh Ko Bhi To Mehkaaya Karey




Ye Bikhri Si Zulfein Ye Pheala Sa Kajal,

Ye Bikhri Si Zulfein Ye Pheala Sa Kajal,

Ye Bechain Aankhein Ye Simta Sa Aanchal,

Tere Haal Se Log Pehchan Lein Gy,

Tuje Dekh Kr Sb Muje Jan Lein Gy,

Ye Behkey Qadam Ye Larkharati Jawani,

Ye Betaab Dil Aur Muhabt Deewani,

Shafak Jaese Galon Pe Ubhri Hoi Hai,

Mere Honton Ki Ek Mehakti Nishani,

Tere Jism Se Urrti Meri Ye Khushbo,

Suna Dy Gi Hr Ek Ko Sari Kahani,

Na Bn Jaye Apna Milan Ek Fasana,

Abhi Ghar Na Jana,, Abhi Ghar Na Jana...!






Honton Pe Kabhi Un K Mera Naam He Aye

Honton Pe Kabhi Un K Mera Naam He Aye
Aye To Sahi Bar-sar-e-ilzaam He Aye

Heran Hain Lab'basta Hen, Dilgeer Hain Gunche
Khushbu Ki Zubani Tera Pegham He Aye

Lamhat-e-masarat Hen Tasawur Se Gurezaan
Yaad Aae Hain Jab B Gham-o-alam He Aye

Taaron Se Saja Lenge Raah-e-shahr-e-tamana
Maqadar Nhi Subho Chalo Shaam He Aye

Yaadon K Vafaaon K Aqeedon K Ghamon K
Kaam Aye Jo Duniya Mei To Is Naam He Aye

Kya Raah Badalne Ka Gila Hamsafaron Se
Jis Raah Se Chale Tere Dar-o-baam He Aye

Thak Haar Ke Baithe Hain Sar-e-ku-e-tamanna
Kaam Aye To Phir Jazba-e-naakaam He Aye

Baaqi Na Rahe Saakh "adaa" Dasht-e-junoon Ki
Dil Mein Agar Andeshaa-e-anjaam He Aye





Jo Feraib Main Nay Khaye Tujhay Razdan Samaj Kar

Jo Feraib Main Nay Khaye Tujhay Razdan Samaj Kar
Usay Kesay Bhool Jaon Ak Daastan Samaj Kar

Na Mitaoo Thokrou Say Ye Mazaar Hay Kesi Ka
Zara Reham Kar Khudara Isay Ak Nishaan Samaj Kar

Aray O Jalanay Walay Ye Tera Hi Tha Nasheman
Jisay Tu Nay Phounk Dala Mera Aashiyaan Samaj Kar

Na Bhuja Charag Zalim Abhi Dorr Hay Sawera
Kahi Lou Lipat Na Jaye Tujhay Badguma Samaj Kar

Mujhay Ghorr Say Na Dekho Wahi Na Muraad Gul Hoon
Jisay Tu Nay Round Dala Mujhay Be Zubaan Samaj Kar

Ay Shakeel Kia Bataon Wo Karay Gaye Jo Jafa'en
Unhay Main Nay Dil Diya Tha Ak Meharbaa Samaj Kar

Wednesday, November 27, 2013

Na Khauf-e-barq, Na Khauf-e-sharar Lage Hai Mujhe

Na Khauf-e-barq, Na Khauf-e-sharar Lage Hai Mujhe
Khud Apne Baagh Ke Phoolon Se Dar Lage Hai Mujhe

Ajeeb Dard Ka Rishta Hai Saarii Duniya Main
Kahein Ho Jalta Makaan, Apna Ghar Lage Hai Mujhe

Main Aik Jaam Hoon Kis Kis Ke Hont Tak Pohnchoon
Ghazab Kii Pyaas Liye Har Bashar Lage Hai Mujhe

Taraash Laita Hoon Us Se Bhii Aaeine Manzoor
Kisii Ke Haath Ka Patthar Agar Lage Hai Mujhe



Khaein Door Dasht-e-khayal Main,

Khaein Door Dasht-e-khayal Main,
Koi Qaafla Hay Ruka Hoa,
Khaein Khaali Aankh Ki Goud Main,
Kai Ratjagay Hain Pary Hoay,
Kahin Ehd-e-maazi Ki Rah Per,
Koi Yaad C Kahein Kho Gai,
Kahein Khuab Zaaron K Darmian,
Mujhy Zindgi Nay Basar Kia,
Mery Mah-o-saalon Ki Goud Main,
Na Visaal Ka Koi Chaand Hay,
Koi Aas Hay Na Umeed Hay,
Na Kisi Sitaary Ka Saath Hay,
Na Hi Haath May Koi Haath Hay,
Kai Wahemy, Kai Waswasy,
Mujhy Gheyr Laytey Hain Shaam Say,
Wohi Din Mata-e-hayat Hain,
Jo Basar Kiay Tery Naam Say,



Humain Aakar Manaa Laina Kisi Bhi Kaam Se Pehlay

Humain Aakar Manaa Laina Kisi Bhi Kaam Se Pehlay
Udasi Thehar Jati Hai Tumhare Naam Se Pehlay

Kahan Bichra Hua Koi,safar Kay Baad Milta Hai
Humain Mil Kar Hi Jana Tum Safar Ki Shaam Say Pehlay

Yahi Taarey Teri Aankhon Ki Chilman Main Rehtey Thay
Yahi Soraj Nikalta Tha, Tumharey Baam Se Pehlay

Meri Aankhon Ko Teri Ungliyon Ki Aram Ki Aadat Hai
Ye Aankhen So He Jati Theen Barey Aaram Se Pehlay

Teri Aankhon Ko Dekha To Faqt Itna Khyaal Aaya
Guzra Kis Tarha Jewan Saloney Jam Sey Pehlay

Dilon Main Phool Khiltey Hain Tumharay Naam Say Pehlay
Laho Main Deep Jaltey Hain Tumharey Naam Say Pehley

Dilon Ki Jagmagati Bastiyan Aitraz Karti Hain
Wohi Jo Log Lagtey Hain Nihayat Aam Say Pehley

Hua Hai Wo Agar Munsif, To Amjad Ehtiatan Hum
Saza Tajweez Kartey Hain Kisi Anjam Say Pehlay ..........!!


Gehri Gehri Raat Samander,

Gehri Gehri Raat Samander,
Din Sehra Aur Raat Samundar,

Phir Bhi Main Hun Tishna Tishna,
Warna Uski Zaat Samundar,

Samnay Uski Aankhon K,
Teri Kya Oqaat Samundar,

Phir Bhi Gham Kya? Raah Mein Meri,
Haayel Hain Gar Saat Samundar,

Meri Gaftagu Hai Sehra Sehra,
Uski Har Ek Baat Samundar,

Boond Boond Ko Tarsay Sehra,
Pee Jaye Barsaat Samundar.......!!!!!


Mujhay Chashm-e-naz Se Mut Gira

Mujhay Chashm-e-naz Se Mut Gira
Mairay Hum Nafas, Mairay Sathiya
Teray Saray Uzer Qabool Hain
Yeah Muhabaton Ke Asool Hain

Rahon Kab Talak Tery Rahon Main
Mujhay Rakh Ke Daikh Nigahon Main
Mairy Khawahishien Teri Chah Main
Kisi Guzray Waqat Ki Dhol Hain
Yeah Muhabaton Ke Asool Hain

Mairy Zindagani Dhuwan Dhuwan
Teray Sath Jaoon Kahan Kahan
Mairy Arzoien Khizan Khizan
Teray Paas Phol Hi Phol Hain
Yeah Muhabaton K Asool Hain

Mujhay Mairy Zat Pe Qudratien
Kahan Main. Kahan Mairy Hasratien
Teri Be Rukhi, Teri Raghbatien
Mairy Zindagi Ka Hasool Hain
Yeah Muhabaton Ke Asool Hain

Woh Baat Baat Mein Itna Badalta Jaata Hai

Woh Baat Baat Mein Itna Badalta Jaata Hai
K Jis Tarhaan Koi Wadda Badalta Jaata Hai
Yeh Arzoo Thi K Hum Us Kay Sath Sath Challain
Magar Woh Shakhas Tu Rasta Badalta Jata Hai
Jo Taiz Dhoop Mein Sar Par Raha Wohi Anchal
Hawa Chali Hai Tu Kitna Badalta Jata Hai
Ruttein Visaal Ki Aab Khawb Honay Wali Hein
Keh Us Ki Baat Ka Lehja Badalta Jaata Hai
Woh Baat Kar Jisay Duniya Bhi Moatbar Samjhay
Tujhay Khabar Zamana Badalta Jaata Hai
Yeh Arzoo Thi Ke Hum Uss Kay Sath Sath Chalain
Magar Woh Shakhas To Raasta Badalta Jata Hai



Hum Bhi Kitney Dewaaney Nikley

Hum Bhi Kitney Dewaaney Nikley

Diye Say Andehra Mitaney Nikley

Gham-e-dil Pe Hamare Jo Hasa Kartey Hain

Hum Unko Hi Haal-e-dil Sunaney Nikley

Kaaghzi Phoolon Par Aati Nahi Bahaarain

Ye Jaan Kar Bhi Gulshan Sajaney Nikley

Dunia Me Bikti Hain Jhooti Kahaniyan

Sachey Afsaney Sab Hum Jalaney Nikley

Log Behtay Hain Bhar Ke Muthi Me Namak

Janey Kia Soch Kar Hum Zakham Dikhaney Nikley





Pehlu Mein Mere Dekh Wahi Dil Hai Aaj Bhi

Pehlu Mein Mere Dekh Wahi Dil Hai Aaj Bhi

Roshan Isi Charagh Se Mahfil Hai Aaj Bhi

Ab Bhi Hai Kehkashan Tere Partu Se Raah-e-shoque

Pur Noor Sham-e-jaada-e-manzil Hai Aaj Bhi

Ab Bhi Hyat-e-shaque Ki Kashti Hai Taiz Ra'o

Her Mauj Ek Ummeed Ka Saahil Hai Aaj Bhi

Ab Bhi Hai Eik Kaif Umeed-e-karam K Saath

Ek Lutf Intezaar Mein Shamil Hai Aaj Bhi

Ab Bhi Hai Mujh Ko Ishq Ki Hikmat Pe Aitmaad

Dil Ko Umeed-e-hal-e- Masaael Hai Aaj Bhi

Ab Bhi Hai Her Nigah Teri Rooh-e-aarzoo

Tu Jaan-e-shaque Ban K Muqabil Hai Aaj Bhi

Woh Dil K Mujh Ko Naaz Raha Jis Pe Muddaton

E Dost!tere Naaz K Qabil Hai Aaj Bhi.....!!!!







Mohabbat Ka Dhuwan Ankhon Men Pani Chhor Jata Hy,

Mohabbat Ka Dhuwan Ankhon Men Pani Chhor Jata Hy,
Kisi Rasty Se Gham Guzry Nishani Chhor Jata Hy

Hamari Guftgu Se Bhi Wo Qayil Nhi Hota
Aur Apni Khamoshi K Bhi Ma̢۪ani Chhor Jata Hy

Bharosa Jis Pe Ho Us Se Tawaqo Koi Mat Rakhna
Yehi Saiban Ek Be_saibani Chhor Jata Hy

Bichar Kar Bhi Hum Aisy Shakhs Se Bichra Nhi Karty
Jo Ek Fiqra Ada Kar K Kahani Chhor Jata Hy

Mohsin Maut Bhi Kam Khoobsurat To Nhi Hogi
Jo Us Ko Dekhta Hai Zindgani Chhor Jata Hy...




Jab Kabhi Woh Hoga Apni Zaat Mein Tanha, Toh Yaad Aonga,

Jab Kabhi Woh Hoga Apni Zaat Mein Tanha, Toh Yaad Aonga,
Na Chala Kadam Se Kadam Sath Koi, Toh Yaad Aonga,

Main Uski Aankhon Ka Ishara Bhi Samajh Leta Hoon,
Na Samajh Saka Koi Dil Ki Baat, Toh Yaad Aonga,

Din Ka Har Ik Pal Guzarega Jab Us Pe Bhari
Aur Tanha Katte Gi Raat, Toh Yaad Aonga,

Har Baazi Jaan Kar Us Se Haar Jata Hoon,
Jab Dega Koi Usay Haar, Toh Yaad Aonga,

Hansnay Ko Toh Duniyaan Hansti Hai Sath Sath,
Na Roya Koi Dukh Mein Saath, Toh Yaad Aonga......!!!!

Badan Se Uthti Thi Us K Khushbo, Saba K Lehjay Mein Boolta Tha

Badan Se Uthti Thi Us K Khushbo, Saba K Lehjay Mein Boolta Tha
Ye Meri Aankhein Thi Uska Bistar, Wo Meray Khawabon Mein Jaagta Tha

Haya Se Palkein Jhuki Hoi Thin Hawa Se Saansen Ruki Hoi Thin
Wo Meray Senay Mein Sar Chupaey, Najnay Kya Baat, Soochta Tha!

Koi Tha Chashm E Karam Ka Talib, Kisi Pe Shouq E Wisaal Ghalib
Sawaal Phailay Thay Chaar Janib, Bus Aik Main Tha Jo Chup Khara Tha

Ajeeb Muhabbat Ajeeb Rut Thi, Khamoosh Bethay Hoey Thay Donon
Main Uski Awaaz Sun Raha Tha, Wo Meri Awaaz Sun Raha Tha

Wo Aur Hon Gay Ke Jin Ko "amjad" Naey Manazir Ki Chaah Ho Gi
Main Us K Cheray Ko Dekhta Hon, Main Us K Cheray Ko Dekhta Tha!




Apne Hum'raah Jo Aate Ho Idhar Se Pehle

Apne Hum'raah Jo Aate Ho Idhar Se Pehle
Dasht Parta Hai Mian Ishq Main Ghar Se Pehle

Chal Diye Uth Ke Soo-e-shehar-e-wafa Koo-e-habeeb
Pooch Laina Tha Kisii Khaak Ba Asar Se Pehle

Ishq Pehle Bhii Kiya Hijr Ka Ghum Bhii Daikha
Itne Tarpe Hain Na Ghabraaye Na Tarse Pehle

Jee Behalta Hii Nahi Ab Koii Saat, Koii Pal
Raat Dhaltii Hi Nahi Chaar Pehar Se Pehle

Hum Kisi Dar Pe Na Tikay Na Kahin Dastak Dee
Saikaron Dar The Merii Jaan Tere Dar Se Pehle

Chaand Se Aankh Milii Jee Ka Ujaala Jaaga
Hum Ko Sau Baar Huii Subah Sehar Se Pehle






Har Lamha Teri Yaad Ki Khushbuu Hai Mere' Paas

Har Lamha Teri Yaad Ki Khushbuu Hai Mere' Paas
Is Shehar Main Tanha Hoon Magar Tuu Hai Mere' Paas

Jis Shakl Ko Chahoon Teri Tasveer Main Badal Doon
Ye Husn-e-tasavvar Hai Ke Jaaduu Hai Mere' Paas

Rakhta Hai Sadaa Jo Meri Raaton Ko Mo'attar
Wo Tere' Badan Ka Gul-e-khushbuu Mere' Paas

Kese' Mujh Ko Pasand Aaein Ge' Is Shehar Ke Naghme'
Tuu Hai Meri Koyal Teri Kuu Kuu Hai Mere' Paas

Kyun Thaamoon Ga Jaan! Main Kisi Aur Ki Baanhain
Pehne' Huye Kangan Tere' Baazuu Hain Mere' Paas

Jab Chahoon Qateel Us Ke Nagar Tak Mujhe' Le' Jaaein
Sochon Ka Chammakta Hua Jugnuu Hai Mere' Paas





Jab Pyaar Nahi Tha Tou Bhulaa Kyun Nahin Detey,

Jab Pyaar Nahi Tha Tou Bhulaa Kyun Nahin Detey,
Khat Kiss Liye Rakhey Hain Jalaa Kyun Nahin Detey,

Kiss Vastey Likhaa Hai Hatheli Pay Meraa Naam,
Main Harf E Galat Hun Tou Mitaa Kyun Nahin Detey,

Lillah Shabb - O - Roz Kee Uljhan Say Nikalo,
Tum Merey Nahin Ho Tou Bataa Kyun Nahin Detey,

Reh Reh Kay Na Tadpao Ae Be_dard Maseeha,
Hathon Say Mujhay Zehar Pilaa Kyon Nahin Detey,

Jab Meri Wafaon Pay Yakeen Tum Ko Nahin Hai,
Hasrat Ko Nighahon Say Giraa Kyun Nahin Detey,


Tera Chehra Subha Ka Taara Lagta Hai

Tera Chehra Subha Ka Taara Lagta Hai
Subha Ka Taara Kitna Pyaara Lagta Hai

Tum Se Mil Kar Imlii Meethii Lagtii Hai
Tum Se Bichar Kar Shehad Bhi Khara Lagta Hai

Raat Hamaare' Saath Tuu Jaaga Karta Hai
Chaand Bata Tuu Kyun Hamaara Lagta Hai

Titlii Chaman Main Phool Se Liptii Rahtii Hai
Phir Bhi Chaman Main Phool Kunwara Lagta Hai

Kaif Wo Kal Ka Kaif Kahan Hai Aaj Mian
Ye To Koii Waqt Ka Maara Lagta Hai





Ye Moujza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaye Mujhe

Ye Moujza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaye Mujhe

Ke Sang Tujh Pey Girey Aur Zakham Aaye Mujhe

Wohi To Sab Say Ziada Hai Nuktaa Chee Mera

Jo Muskura Ke Hamesha Galey Lagaye Mujhe

Mai Apney Dil Say Nikalon Khayal Kis Kis Ka

Jo To Nahi To Koi Aur Yaad Aaye Mujhe

Wo Mera Dost Hai Sare Jahan Ko Hai Maloom

Dagha Kare Wo Kisi Say To Sharm Aaye Mujhe

Wo Meherbaan Hai To Iqrar Kio Nahi Karta

Wo Badgumah Hai To Soo Baar Aazmaye Mujhe






Tere' Maqtal Ki Aabroo Hum The'

Tere' Maqtal Ki Aabroo Hum The'
Qatl Ke' Waqt Baa Wazoo Hum The'

Ye' Nadii Ab Kise' Bulaati Hai?
Pahle' To Is Ki Justajoo Hum The'

Apni Basti Ko Yaad Hai Ke' Nahin
Us Ki Galiyon Ki Hao Hoo Hum The'

Apne' Kaam Aa Gaii Wo Mahroomi
Pyaas Ke' Din Kinaar-e-joo Hum The'

Apne' Kuch Khwaab Yaad Aane' Lage'
Raat Maazi Ke' Roo Ba'roo Hum The'





Ya Zohra Jabeenon Ki Munajaat Karien Gay

Ya Zohra Jabeenon Ki Munajaat Karien Gay
Ya Bandagi-e Peer-e Kharabaat Karien Gay

Ye Aqal Ke Sehmay Hue Beemar Iraday
Kiya Chara-e Nasazi-e Halaat Karien Gay

Aa Ae Gham-e Dauraan Mekhana Hai Nazdeek
Aaraam Se Baithien Gay Zara Baat Karien Gay

Jannat Mein Na May Hai Na Muhabbat Na Jawani
Kis Cheez Pe Insaan Basar Auqaat Karien Gay

Keh Do Ye Adam Se Keh Kharabaat Mein Kal Raat
Kuch Log Faqeeron Ki Madaraat Karien Gay



Jab Se Qareeb Ho K Chaly Zindagi Se Hum,

Jab Se Qareeb Ho K Chaly Zindagi Se Hum,
Khud Apny Aainey Ko Lagy Ajnabi Se Hum.

Wo Kon Hai Jo Paas Bhi Hai Aur Door Bhi,
Har Lamha Mangty Hain Kisi Ko Kisi Se Hum.

Ehsas Ye Bhi Kam Nahi Jeenay K Waasty,
Har Dard Jee Rahy Hain Tumhari Khushi Se Hum.

Kuch Door Chal K Raasty Sab Aik Se Lagy,
Milny Gaye Kisi Se, Mil Aaye Kisi Se Hum.

Kis Morr Per Hayat Ne Pohncha Diya Humen,
Naraz Hain Ghamon Se Na Khush Hain Khushi Se Hum.



Aao Chalein

Aao Chalein
Tanhaaiyon Ke Safar Pe
Hum
Jahan Manzilein Hain
Na Raaste
Duriyan Hain Na Faasle
Jahan Koi Bhi Be'wafa Nahi
Jahan Dard-o-ghum
Jaata Nahi
Jahan Pyaar Hai Na
Qasam Koi
Iqraar Hai Na Bharam Koi
Jahan Dil Koi Jalta Nahi
Be'maut Koi Marta Nahi
Aao Chalo Mere Saath Tum
Mere Humsafar
Mere Khwaab Tum
Aao Chalo Mere Saath Tum

Tuesday, November 26, 2013

Aah Ko Chaahiye Ik Umr Asar Hone Tak

Aah Ko Chaahiye Ik Umr Asar Hone Tak
Kaun Jiitaa Hai Terii Zulf Ke Sar Hone Tak

Daam Har Mauj Mein Hai Halqaa-e-sad_kaam-e-nahang
Dekhein Kyaa Guzarey Hai Qatare Peh Gauhar Hone Tak

Aashiqii Sabr Talab Aur Tamannaa Betaab
Dil Kaa Kyaa Rang Karun Khuun-e-jigar Hone Tak

Ham Ne Maanaa Ke Tagaaful Na Karoge Lekin
Khaak Ho Jaayeinge Ham Tum Ko Khabar Hone Tak

Partav-e-khuur Se Hai Shabanam Ko Fanaa Kii Taaliim
Main Bhii Huun Ek Inaayat Kii Nazar Hone Tak

Yak_nazar Besh Nahiin Fursat-e-hastii Gaafil
Garmii-e-bazm Hai Ik Raqs-e-sharar Hone Tak

Gam-e-hastii Kaa Asad Kis Se Ho Juz Marg Ilaaj
Shammaa Har Rang Mein Jaltii Hai Sahar Hone Tak

=========================================

Miltee Hai Kho-e-yaar Se Naar Iltihaab Mein

Miltee Hai Kho-e-yaar Se Naar Iltihaab Mein
Kaafir Hoon Gar Na Miltee Ho Raahat 'azaab Mein

Kab Se Hoon Kya Bataaoon Jahaan-e-kharaab Mein
Shab Haaye Hijr Ko Bhi Rakhoon Gar Hisaab Mein

Taa Phir Na Intezaar Mein Neend Aaye 'umr Bhar
Aane Ka Ahad Kar Gaye Aaye Jo Khwaab Mein

Qaasid K Aate Aate Khat Ik Aur Likh Rakhoon
Main Jaanta Hoon Jo Woh Likhenge Jawaab Mein

Mujh Tak Kab Unki Bazm Mein Aata Tha Daur-e-jaam
Saaqi Ne Kuch Mila Na Diya Ho Sharaab Mein

Jo Munkir-e-wafa Ho Fareb Us Peh Kya Chale
Kyoon Badghumaan Hoon Dost Se Dushman K Baab Mein

Main Muztarib Hoon Wasl Mein Khauf-e-raqeeb Se
Daala Hai Tumko Weham Ne Kis Pech-o-taab Mein

Hai Tevaree Chadee Huee Andar Naqaab K
Hai Ik Shikan Padee Hui Tarf-e-naqaab Mein

Woh Naala Dil Mein Khas K Baraabar Jagah Na Paaye
Jis Naale Se Shigaaf Pare Aaftaab Mein

Woh Sehar Muddaa Talbee Mein Na Kaam Aaye
Jis Sehar Se Safina Ravaan Ho Saraab Mein

'ghalib' Chutee Sharaab, Par Ab Bhee Kabhi Kabhi
Peeta Hoon Roz-e-abr -o- Shab-e-maahtaab Mein

=======================================================



Sitaara Apni Bhi Taabindagi Na Dekh Sakaa

Sitaara Apni Bhi Taabindagi Na Dekh Sakaa
Vo Dhundh Thi K Ye Manzar Koi Na Dekh Saka

Talaash Karte Hue Ungaliyaan Jalaa Daalin
Vo Teergi Thi Ki Main Shama Bhi Na Dekh Saka

Mila Tha Shaam Mujhe Ik Bujha Hua Suraj
Main Us Ke Baad Phir Raushani Na Dekh Saka

Jo Rabt Baqi The Sab Qataa Kar Liye Us Ne
Vo Meharabaan Merii Bechaargi Na Dekh Saka

Nigaah Vaise To Baam-e-falak Ko Chu Aai
Main Jis Zameen Pe Khara Tha Vahi Na Dekh Saka

Vahi Hai Aainaa Khaana Vahi Hain Tasveeren
Main Umr Bhar Koi Surat Nayi Na Dekh Saka

Tamaam Shahar Men Vo Deeda Var Hua Mashhoor
Vo Apni Naak Se Aage Kabhi Na Dekh Saka

============================================================

Kabi Sehra Kabi Sokhay Shjar Ache Nahi Lagte

Kabi Sehra Kabi Sokhay Shjar Ache Nahi Lagte

Mujhe Ab Khwabzaron Ke Safar Ache Nahi Lagte

Jawabi Khat Me Youn Osne Mere Baray Mein Likha Tha

Bura Bi Keh Nahi Sakte Magr Ache Nahi Lagte

Nahi Masrof Me Itna Ke Ghar Ka Rasta Bhulon

Koi Jb Muntazir Na Ho To Ghar Ache Nahi Lagte

Samandr Terti Lehron Se Ye Kehta Raha Shab Bhar

Mujhe Bi Dobnay Walay Bhanwar Ache Nahi Lgtey

Nahi Aisa Ke Ab Parwaz Ki Taqat Nahi Baqi

Meri Umeed Ke Panchi Ko Par Ache Nahi Lgtey



====================================================

Mera Din Chopa Kisi Raat Main

Mera Din Chopa Kisi Raat Main
Meri Raat Chopi Teri Zaat Main

Main Jab Kabhi Bhatak Jaon
Wahin Girte Girte Sambhal Jaon

Mujhe Thokron Se Pata Chala
Koi Hath Hai Mere Hath Main



=======================================================

Abhi Dhundh Hi Rahi Thi

Abhi Dhundh Hi Rahi Thi

Tumeen Yeh Nazar Hamari

K Tum Aa Gaye Achanak

Bari Umr Hay Tumari

Abhi Kuch Hi Dair Pahle

Bara Zikar Tha Tumara

Kai Bar Dharkanon Ne

Tumeen Piyar Se Poukara

Mit'ta Intezar Dil Ka

Hui Khatm Bekarari

Hamein Piyar Ki Khushi Se

Kiya Aashna Tumhi Ne

Tumeen Piyar Ham Woh Dein Ge

Jo Deya Na Ho Kisi Ne

K Tumari Zindagi Hay

Hamein Jaan Se Bhi Piyari

Woh Nazar K Samne Hay

Jisey Ham Ne Dein Sadayeen

Jo Karaar Ban K Aya

Usey Kyun Na Dein Duayeen

===========================================

Monday, November 25, 2013

 Mujhey Arzoo- e-seher Rahi yunhi raat bhar bari dair tak
Na bikhar sake na simat sake yunhi raat bhar bari dair tak

Hai bohat azaab aur akaily hum, shab e gham bhi meri taweel tar
Rahi zindagi bhi saraab aur rahi aankh tar bari dair tak

Yahan har taraf hai ajab samaan, sabhi khud pasand, sabhi khud numa
Dil e be-qaraaar ko na mila koi chara gar bari dair tak

Mujhay zindagi hai aziz tar isi wastey mery hamsafar
Mujhay qatra qatra pila zehr, jo karey asar bari dair tak

Na sakoon e jaan na shreek e gham mila is jahan mein chaar su
Teri yaad thi meray saath jo rahi dar ba dar bari dair tak

Yahan shehar e dil bhi udaas hai aur ujaar ujaar si rah guzar
Rahey teray baad dhwaan dhwaan meray baam o dar bari dair tak


=============================================


Piyar muhabbat ke hain jitne sab afsa'anay jhootay hain
Saari shamm'eyeN jhooti hain, saare parwa'anay jhootay hain

Apni zaat se badh ke ulfat kon kisi se karta hai
Jaan nicha'awar karne wale sab deewanay jhootay hain


Kab tak aas ka daaman thaamay tal'kh haqa'aeq jhutlaa'ein
Taabirein yeh batlaati hain khawaab suhaanay jhootay hain

Saaf hi keh do hum se milna baar-e-gira'aN hai ab tum ko
Idhar udhar ke jo karti ho laakh bahanay, jhootay hain!

Meray nanhay munnay such ki kia au'qaat wahaN, jiss jaa
Lamhay jhootay, sadia'aN jhooti aur zama'anay jhootay hain

=======================================================


Ussay Keh Do K Wo Mujh Ko Ronay Sy Mat Rokay..
Bikhray Huwoon Ko Toofan Sanbhala Nahi Kartay

Ab Mehar Banion Ki Tumhari Tamana Nahi Humko..
Barastay Huway Baadil Kabhi Ujala Nahi Kartay..

Mat Qareeb Aao Meray Mujhe Bas Younhi Rehnay Dou
Tootay Huway Paimanay Mein Jaam Dala Nahi Kartay

Mat Sunao Logoon Ko Meri Barbaadi Ka Qissa
Kissi Kay Dil Kay Zakhmoon Ko Younh Uchala Nahi Kartay


==================================================

Wohi Gardashain Wohi Paich-o-Kham Tere Baad Bhi,
Wohi Houslay Mere Dum Ba Dum Tere Baad Bhi,

Tere Sath Thi Teri Jafa Mujhay Mo'atabar,
Tere Saaray Gham Mujhay Mohtaram Tere Baad Bhi,

Mere Sath He Meri Har Khushi Teri Muntazir,
Teri Muntazir Meri Chasham-e-Namm Tere Baad Bhi,

Tu Kisi K Qalab-o-ArzoO Mein Dhal Gaya,
Main Na Ho Saka Kabhi Khud Mein Zamm Tere Baad Bhi,

Mere Baad Kitnay He RoOp Tu Ne Badal Liye,
Main Wohin HoOn Ab Teri Qasam Tere Baad Bhi


===================================================================


jindagi ka pahala kash,
natija bedam karane vali khansi!
doosara kash,
halka sa chakkar
halkee si khansi!
tisara kash, 
dimag men ek joradar jhataka! 
ajab sa nasha!! 
klorofarm sunghane par behosh hone se thik pahale si sthiti sa!!
doosari sigaret, 
usi nashe kee chah, 
par nasha halka sa hi!
tisari sigaret, 
fir usi nashe kee chah, 
nasha sigaret dar sigaret kam hote jana!
usi nashe kee chah men sigaret dar sigaret pite jana, 
natija sifar...
ab vah nasha kahan, 
aur jahan vo behoshi sa aalam, 
bas sigaret kee talab..

ye tum si hi nahin hai kya?


===================================================


khoyaa khoyaa udaas saa hogaa
tumse voh shakhs jab milaa hogaa

phir bulaaya hai usne khat likh kar
saamne koi maslaa hogaa

ruuH se ruuH ho chukii bad-zin
jism se jism kab judaa hogaa

qurb ka zikr jab chalaa hogaa
darmiyaaN koii faaslaa hogaa

ghar mein sab so rahe hoNge
phuuL aaNgan meN jal chukaa hogaa

kal kii baateN karoge jab logo!
Khauf saa dil meN ruunuma hogaa



======================================

miTTii thaa kisne chaak pe rakh kar ghumaa diyaa
voh kaun haath the ki jo chaahaa banaa diyaa

jo ab talak chhupaati thii kamre ki roshnii
raastoN kii tiirgii ne voh sab kuchh dikhaa diyaa

pariyoN ke des vaali kahaani bhii khuub thii
bachchoN ko jisne phir yuuN hii bhukhaa sulaa diyaa

ab aur kyaa talaash hai, kyuuN diidaa-rez ho
miTTii meN bas vahii thaa jo tumne ugaa diyaa

kuchh aZhdahe se, kuchh ret pe band siipiyaaN
saahil ko lauTtii huii lahroN ne kyaa diyaa

========================================================

Batao Dil Ki Bazi Main Bhala Kya Bat Gehri Thi? 
Kaha Youn Tu Sabhi Kuch Theek Tha Per Maat Gehri Thi,

Suno Barish ! Kabhi Khudh Say Bhi koi Barh K Deakha Hai? 
Jawab Aya Un Aankhon Ki Mager Barsat Gehri Thi,

Suno Pitam Nay Hoole Say Kaha Tha Kya Batao Gay? 
Jawab Aya Kaha Tu Tha Mager Wo Baat Gehri Thi,

Diya Dil Ka Samandar Us Nay Kya Kiya Is Ko? 
Hamain Bus Doob Jana Tha K Wo Soghat Gehri Thi,

Wafa Ka Dasht Kaisa Tha Batai Tum Pay Kya Beeti? 
Bhatak Jana He Tha Ham Ko Wanha Per Raat Gehri Thi,

Tum Us K Zikar Pay Kion Doob Jatay Ho Khayalon Main? 
Rafaqat Or Adawat Apni Us K Sath Gehri Thi,

Nazar Aya Tumhain Us Ajnabi Main Kya Batao Gay? 
Suno Qatil Nigahon Ki Wo Zalim Ghaat Gehri Thi..!!

===================================================================


Mujhe Har Kaam Se Pehle
Sehar Se Shaam Se Pehle
Yahi Aik Kaam Karna Hai

Tumara Naam Lena Hai, 
Tumhe Ko Yaad Karna Hai

Ke Jab Bhe Dard Pena Hai
Ke Jab Bhe Zakham Sehna Hai

Gham -e-Duniya Se ghabra Kar
Mujhe Jab Jaam Lena Hai

Tumara Naam Lena Hai
Tum He Ko Yaad Karna Hai

Tumari Yaad Hai Dil Mein,
 Aik Sayaad Hai Dil Mein
Khoi Barbad Hai Dil Mein,
issay Abad Karna Hai

Tumara Naam Lena Hai
Tumai Ko Yaad Karna Hai....

Wasi Shah*..

====================================================================


Is Zamanay Say Na Hum Koi Gilaa Rakhain Gain
Dil Lagayein Gain To Na Shart-E-Wafa Rakhain Gain

Na Dikhayain Gain Kabhi Dil Pe Lage Zakhm Unhain
Dard Uthay Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain Gain

Jaan De Daingain Agar Aik Ishaara Kar De
Ham Usay Apne Liye Bhi Na Bacha Ke Rakhain Gain

Sab Hata Daingain Teri Raah Ki Rukawat Hamdam
Ghar Ke Darwazay Ko Har Waqt Khula Rakhain Gain

Unki Har Baat Ko Bhoolay Say Na Bhoolain Gain Kabhi
Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain Gain

Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Gain..

===================================================================

Her Terha K Jazbaat Ka ILaan Hain Aankhain
Shabnam Kabhi Shoola Kabhi Tufaan Hain Aankhain



Aankho se Bari Koi Tarazu Nahy Hoty
Tulta Hai Bashar Jiss Main Wo Mezaan Hain Aankhain



Aankhain Hi Milaty Hain Zamanay Main Dilo Ko
Unjaan Hain Hm Tum Ager Unjaan Hain Aankhain



Lab Kuch Bhi Kahain Is Se haqeeqat Nahy Khulty
Insaan K such Jhoot Ki Pehchaan Hain Aankhain



Aankhain Na Jhukain Tere Kisi Gair K Aagay
Duniya Main Bari Cheez Mere JAAN Hain Aankahin.

==================================================================

hazaar Gam the merii zindagii akelii thii
Khushii jahaaN kii mere vaaste pahelii thii

vo aaj bach ke nikalate hain mere saaye se
ki main ne jin ke liye Gam kii dhuup jhelii thii

judaa huii na kabhii mujh se gardish-e-dauraaN
merii hayaat kii bachapan se ye sahelii thii

chaDhaa rahe hain vo hii aaj aastiin mujh par
ki jin kii piiTh pe kal tak merii hathelii thii

ab un kii qabr pe jalataa nahii.n diyaa ko_ii
ki jin kii dahar men roshan bahut havelii thii

vo jhuk ke phir merii turbat pe kar rahe hain salaam
isii adaa ne to "Mahir" kii jaan le lii thii..

===================================================================

kis ko gumaan he ab k mere saath tum b the
hye wo roz o shab k mere saath tum b the

yadish bakhair ehd e guzishta ki suhbatein
ek dor tha ajab k mere saath tum b the

be maher ee hayat ki shiddat k bawajood
ek dor tha ajab k mere saath tumbhi the

main aur taqabul e gham e doran ka hosla
kuch ban gaya sabab k mere saath tum b the

ek khaab ho gai he rah o rasm e dosti
ek waham sa he ab k mere saath tum b the

wo bazm e dost yaad to ho gi tumhain faraz
wo mehfil e tarab ke mere saath tum bhi theb.

==============================================================================

Meri raatein teri yadon se saji rehti hain
Meri saansein teri khusboo mein basi rehti hain

Meri aankhon mein tera sapna saja rehta hai
Haan merey dil mein tera aks basa rehta hai

Is tarha mere dil k buhat paas ho tum
Jis tarha paas hi sheh rag k khuda rehta hai

tum ko maloom bhi shayed ye kabhi ho k na ho
Merey aangan mein lage phool gawahi dein ge

Main ne arse se kisi phool ko dekha bhi nahi
Tujh ko socha hai to phir tujh ko hi socha hai faqat

Bas kisi aur ko tere siwa socha bhi nahi
tum ko maloom bhi shayed ye kabhi ho k na ho...


=======================================================================
Yeh Dard Mitt gaya To Phr
Yeh Zakhm Sill Gaya To Phr
Bicher Kar So0chta Ho0n Main
Woh Phr Se Mill Gaya To Phr

Mai Titliyo0n K Sheher Mai
Raho0n To Mujh Ko Fikar Hai
Woh Pho0l Jo Khila Nahi
Woh Pho0l Khil Gaya To Phr

Tujhe Bhi Kuch Nahi Mila
Mujhe Bhi Kuch Nahi Mila
Tammam Umar K Liye
Yeh Dard Mill Gaya To Phr

Main Is Liye To Aaj Tak
Sawal Bhi Na Kar Saka
Agar Mere Sawal Ka
Jawab Mill Gaya To Phr...