Aatif Saeed

EK SMS

Jis din tumse baat nahi hoti

Yoon lagta hai din nahi chadhta!!

Yoon lagta hai raat nahi hoti..........

Atif Saeed






AAJ PHIR SHAAM DHALE

Phir wahi dard sa jaaga hai ragoan mein meri

Phir wahi aah si nikli hai mere seeney sey

Phir wahi khwaab se tootey hain meri aankhoan mein

Phir wahi dard ki talkhi hai meri baatoan mein

Phir wahi ashq se thahre hain meri palkoan perr

Phir wahi raat si jeevan mein utar aai hai

Phir wahi aakhiri manzar hai meri aankhoan mein

Aaj phir shaam dhale mujhe tum yaad aai ho.





Tumhein Dil Say Bhulaanay Ki 
Shaori Koshishein Kar Kay

Tumhein Na Yaad Karnay Ki 
Zaroori Koshishen Kar Kay

Main Khud Hi Thak Gaya Hoon Ab
Adhuri Koshishein Kar Kay




suno!
main thak gaya hoon
meri palkon pe ab tak kuch adhooray khwaab jaltay hain
meri neendon main tere wasl ka resham ulajhta hai
mere aansoo, mere chehray pe tere gham ko likhtay hain
mere andar kai sadiyon k sannaton ka dera hai
mere alfaaz banhai'n wa kiye mujh ko bulatay hain
magar main thak gaya hoon
aur main nay khamoshi ki gaud main sar rakh diya hai
aur baalon main tumharay hijar ki naram ungliyaa'n mehsoos karta hoon 
meri palkon pe jaltay khwaab hain ab raakh ki soorat
tumharay wasl ka resham bhi ab neendai'n nahi bunti'n
meri aankhon main jiasay thar kay mausam ka basera hai
mujhe andar kay sanatto'n main gehri neend aai hai
suno!
is taad se keh do
mujhe kuch der sonay de........


Kis Liye Ab Udaas Baithi Ho..
Jab Woh Eik Shakhs Dastaras Main Tha....
Uss Se Milna Tumharay Bus Main Tha......
Uski Aankhain Tumhari Aankhain Thien...
Uski Baatain Tumhari Baatain Thien....
Uska Chehra Tumhara Chehra Tha....
Uskay Dil Par Tumhara Pehra Tha....
Uski Har Saans Main Basi Thien Tum...
Uskay Har Lafz Main Khuli Thien Tum...
Uskay Sapnon Main Bhi Rachi Thien Tum....
Uski Neendon Main Jaagti Thien Tum...
Woh Jo Kehta Tha Beqarari Se...
Meri Saari Wafa Tumhari Hai...
Sirf Tum Se Mujhe Mohabbat Hai...
Sirf Tum Se Meri Haqeeqat Hai...
Kitni Baatain Main Keh Nahi Sakta...
Door Tum Se Main Reh Nahin Sakta...
Tab Tum Uskay Har Eik Jumlay Ko...
Tab Tum Uskay Har Eik Jazbay Ko...
Ek Hansi Main Urraya Karti Thien...
Sun Kay Tum Bhool Jaya Karti Thien....
Uss Ki Aankhon Ko Jab Daikhti Thien... 
Woh Be'niyazi Kay Dard Sehta Tha....
Bhool Jana Tumhari Aadat Thi....
Phir Bhi Kitna Malool Rehta Tha....
Apni Tanhaai Kay Galay Lag Kar....
Saray Aansu Woh Roo Gaya Eik Din....
Eik Pat'thar Se Dil Lagi Kar Kay....
Khud Bhi Pat'thar Ka Hogaya Eik Din....
Abb Woh Tumse Tu Kuch Nahin Kehta....
Be'Niyazi Kay Dukh Nahin Sehta...
Uski Aankhain Abb Uski Aankhain Hain...
Uss Ki Baatain Abb Uski Baatain Hain....
Bhool Jana Tumhari Aadat Hai...
Us Ki Baaton Ko Bhool Jaao Na!!!!...
Abb Woh Eik Shakhs Dastaras Main Nahin...
Abb Uss Se Milna Tumharay Buss Main Nahin...
Kis Liye Ab Udaas Baithi Ho...???
__________________


Bohat din se�.
Mujhe kuch unkahe alfaz ne bechain kar rakha hai
Mujhe sonay nahi detay�
Mujhe hansne nahi detay
Mujhe ronay nahi detay
Yun lagta hai !
Kay jesay saans kahin seenay main thehri hue hai
Yun lagta hai kay jesay taiz garmi main
Zara se dair ko barish baras kay ruk gai hai
Ghutan charon taraf phaili hue hai
Bohat din se meri ankhon main sapno ki
Koi doli nahi utri..!!
Bohat din se�.
Khayalon main dabay paon koi apna nahi aya
Bohat din se�.
Wo sab jazbay jo meri shayari kay mousamon main
Rang bharte thay kahin soye hue hain
Mere alfaz bhi khoaye hue hain
Main unko dhondhne
Es zindagi kay dasht main nikla to hoon lekin
Mujhe maloom hai jazbay ager ek baar kho jain
To phir wapas nahi milte !
Mujhe maloom hai phir bhi abhi ek Ass baki hai
Main ab us Ass ki ungli pakad kr chal raha hoon
Bazahir shabnami thandak mujhe ghairay hue hai
Magar main jal raha hoon
Main ab tak chal raha hoon�!!!

By Atif Saeed



HawaThami Thi Zaroor Lekin,
Wo Sham Jesy Sisak Rahi The
K Zard Paton Ko Andhiyun Ne AjebQisa Suna Dia Tha
K Jis Ko Sun Kar Tamam Patay
Sisak Rahe Tha
Bilak Rahe Tha
Janae Kis Sanaty K Ghuman Main
Shajar Jarion Se Ukhar Chuke Tha
Bohat Talasha kia main ny us ko
Har Aik Rasta, Har Aik Waadi
Har Aik Parbat, Har Aik Ghati
magar Kahin Se Khabar Na Ayi
To Ye Keh Kr Dil Ko Tala
Hawa Thame To Dekh Lain Gy
Hum Us K Raston Ko Dhond Lain Gy
Magar Hamari Ye Khush Khayali
jo ham ko aksar ras na aai
Hawa Thami Thi Zaroor Lekin
Bari Hi Mud’dat Guzar Chuki Thi
Hamare Balon ungalon Main
Safaid Chandi Utar Chuki Thi
Falak Pe Taray Nahi Rah Thy
Gulaab Pyare Nahi Rahe Thy
Wo Jin Se Basti Thi Dil Ki Basti
Wo Loog Saare Nahi Rahe The
magar Ye Almiya Sab Se Badtar ky
Hum us k Nahi Rahe Thy
ky wo hamary nahi rahy thy
Hawa Thami Thi Zaroor Lekin..



Aur Kuch Nahi Badla
Aaj Baad Muddat k
Main Ne Usko Dekha Hay
Vo Zara Nahi Badli!
Ab b Apni Aankhon Mein
So Sawal Rakhti Hay
Choti Choti Baton Pe
Ab b Khul k Hansti Hay
Ab b Uske Lehjay Mein 
Vohi Khankhanahat Hay
Vo Zara Nahi Badli!
Ab b Uski PalkOn k
Saye Geeley Rehtay Hain
Ab b Uski SochOn Mein
Mera Naam Rehta Hay
Ab b Meri Khatir VO
Uss Tarah Hi Pagal hay
Vo zara Nahi Badli!
Aaj Baad Muddat k
Main Ne UskO Dekha Hay
To Mujhe b Lagta Hay
Main b Uski Chahat Mein 
Uss Tarah Hi Pagal HoOn
Baad Itni Muddat k
Aur Kuch Nahi Badla
bus Hamary RastOn k
Aur Kuch Nahi Badla...!!!

Mere andar saans lena chor dy

Ay udaasi..! mera peecha chor d y

Chaand kia angan mein utra hai kabhi

Sun meri jaan…ye tamanna chor dy

Tu kabhi sukhy huye patton pe likh

Sabz shakhon ka qaseeda chor dy..


























































































No comments: