Two Liners

Ik ghazal meer ki parhta hai parrosi mera,
Ik nammi si meri deewaar main aajati hai..





Diwar kia giri mere kache makan ki
Lagon ne mere sehan me raste bana liye.....





Abhi to zindagi haayal hai tujh se milne mein
Main aaj raat ye dewaar bhi gira dunga





Apni Palkon Py MachLty Hoy Ashkon Ko Chupa
Yun Sar-e-Bazm Gham-e-Yar Ki Toheen Na kr....





Wo Khla hy k sochta hoon Main
Us sy kia guftagu ho Khalwat main




Tujhay Bhi Waqt Ki Chokhat Pe Neend Aa Hi Gayi
Palat K Tu Bhi Na Aaya Meri Khushi Ki Tarha........



Koi Ahat Koi Jumbish Koi Dastak Nhi Milti
Hamary Dasht-e Viraan Me Bari Fursat Ka Mausam Hy.......




zulmat-kaday meiN meray shab e gham ka josh hai... 
ik shama' hai daleel e sahar so khamosh hai......




ham muhabbat ke phuul hai.n shaayad
ko_ii kaa.NTaa bhii aas paas rahe........



aag puurii kahaan bujhii hai abhii 
diidaa-e-tar mein tishnagii hai abhii


Aik ghazal tujh pe likhon dil ka taqaza hai bohat 
in dinon khud se bichar jane ka khadsha hai bohat 


koii milaa to haath milaayaa kahiin gae to baatein kii 
ghar se baahar jab bhii nikale din bhar bhoj uthaayaa hai




Is darja ahtiyaat se likha hai khat usey
Roya hoon aur lafz bhi geele nahi huye




Aik umar se aadat Hai tere Shaam-O-Seher ki....
Ab kaun teri yaad ke mamool se nikle...!!!




ai merii maut thahar unako zaraa aane de 
zahar ka jaam na de mujhako davaa se pahale




haaye vo vaqt-e-judaaii ke tumhaare aansuu 
gir ke daaman pe bane the jo sitaare aansuu




Gurbat me.n ho.n agar ham rahataa hai dil vatan me.n
samajho vahii.n hame.n bhii dil ho jahaa.N hamaaraa.....



nashaa-e-ishq kaa gar zarf diyaa thaa mujh ko 
umr kaa tang na paimaanaa banaayaa hotaa

No comments: