Tuesday, December 3, 2013

Ashk Aankhon Mein Chhupatay Howay Thak Jata Hun
Bojh Paani Ka Uthaatay Howay Thak Jaata Hun

Paon Rakhtay Hain Jo Mujh Per Unhain Ehsaas Nahi
Mein Nishaanaat Mitaatay Howay Thak Jaata Hun

Barf Aisi Ke Pighalti Nahi Paani Ban Kar
Pyaas Aisi Ke Bujhaatay Howay Thak Jaata Hun

Achi Lagti Nahi Is Darja Shanasaayi
Haath Haathon Se Milaatay Howay Thak Jaata Hun

Gham Gusaari Bhi Ajab Kaar-e-Mohabbat Hai Ke Mein
Ronay Waalon Ko Hansaatay Howay Thak Jaata Hun

Itni Qabrain Na Banao Mere Andar “Mohsin”
Mein Charaaghon Ko Jalaatay Howay Thak Jaata Hun






Dafan Hain Mujh Main Sorishain Kitni
Dil Ki Soorat Khamoosh Waadi Hoon

Shoq Se Tark-e-Dosti Kar Le
Main Teri Nafraton Ka Aadi Hoon…….!!




Socha tha aik khawb jo dekha nahin geya,
Phir us ke baad umar bhar soya nahin geya,
Kuch main bhi khudpasand tha kuch woh bhi be’niaz,
Toota to phir woh silsilaa jorra nahin geya,
Jab bhi mila, mila woh mujhe aayina badast,
Mujh se zeyada dair yeh dekha nahin geya,
Sompi thi jis ko khayal ki saari amaantain,
Us se mera khayal bhi rakha nahin geya,
Awaargi bhi sath rahi umar bhar Ataa,
Manzil ki simt main kabhi tanhaa nahin geya..

Ataa ul Haq Qasmi

Assar mujh per kare gi kya,Kisi gulzaar ki khushbu,
Mere dil mein to rehti hai,Tumhari yaaad ki khushbu,

Tujhe bezaar karti hai dil e abad ki khawhish,
Mujhe abaad rakhti hai dil e barbaad ki khushbu,

Tere aney ke waadey per yeh kesa ratjaga sa hai,
Mujhe soney nahin deti tere irshaad ki khusbhu,

Woh jitne zakham deta hia mujhe sab phool lagte hain,
Mujhe mashoor rakhti hai sitam ki khushbuu,

Jahan dekho sara mohabbat se moater hai,
Kahin sheerin ki khusbu hai kahin farhaad ki khusbu..

khulta nahin hai hal kisi par kahe bagair
par dil ki jan lete hain dilbar kahe bagair
main kyunkar kahun tum ao k dil ki kashish se wo
ayenge daure ap mere ghar kahe bagair
kya tab kya majal hamari k bosa len
lab ko tumhare lab se milkar kahe bagair
bedard tu sune na sune lek dard-e-dil
rahta nahin hai ashiq-e-muztar kahe bagair
taqdir k siwa nahin milta kahin se bhi
dilawata ai ?Zafar? hai muqaddar kahe bagair