Friday, November 22, 2013

Karbala Shayaron ki Zubaani!

 Insaan Ko Bedaar To Ho Lene Do, Har Qaum Pukaregi Hamare Hain Hussain


Dr Allama Iqbal

Islam kay daaman mein bas iske siwa kya hain
Ik zarb-e-Yadullahi, ik sajdah -e Shabbiri

Sidq-e-Khalil bhi hay ishqe sabr-e-Husayn bhi hay ishq
Marika-e-wujud maiyn Badr-o-Hunayn bhi hay ishq

Qatl-e-Hussain asl mein marg-e-Yazid Hai, 
Islam zinda hota hai har Karbala ke baad


Josh Malihabadi

Kar diya sabit ye tune aye dilawar aadmi
zindagi kya maut se leta hai takkar aadmi

Kaat sakta hai rage gardan se khanjar aadmi
lashkaroron ko raund saktein hain 72 aadmi


Mir Babar Ali Anees

Qatil thay khanjaroon ko nikaley Hussain par
Ye dukh Nabi ki godh ke paley Hussain par

Teer e sitam nikaalne wala koi nahin
Girtey thay aur sambhaalne wala koi nahin

Zakhmo se chur chur huwa Fatima ka laal
Sarde riyaaz Ahmad o Hyder huwa nidhaal

Chehre pa khoon mal ke basad hasrat o malaal
Ki arz Shay ne shukr hai ay Rabb e Zuljalaal

Bachpan se roz o shab thi yahi aarzu mujhe
Ya Rabb tere karam ne kiya surkhuru mujhe


Part of a qawaali by Nusrat Fateh Ali Khan

Deed ki gar talaash hai sir ko jhuka namaaz mein
Dil se khudi ko door kar khud ko mita namaaz mein

Aaye ga tujh ko tab nazar ro-e-Khuda namaaz mein
Pehle Hussain ki tarah sir ko kata namaaz mein


Khawaja Moinuddin Chishti

Shah ast Hussain, badshah ast Hussain,
Deen ast Hussain, deen e panah ast Hussain

Sar dad, na dad dast, dar dast-e-yazeed,
Haqaa key binaey La ila ast Hussain


Irfan Siddiqui

Rasta badal ke maarkaey sabr o jaur mein
Kis ne badal diya hai muqaddar likha hua

Paani pa kiske dast e bareeda ki mohr hai
Kiske liye hai chashma e kausar likha hua

Hai khaak par yeh kaun sitara badan shaheed
Jaise waraq pa harf e munawwar likha hua

Naizey se hai buland sadaae kalam e haq
Kya auj par hai mushaf e athar likha hua


Shamim Jaipuri

Shahadat ki khaatir na lee baadshahee
Nigaah e haqiqat nigar Allah Allah

Woh ek sajda e khaas aur zer e khanjar
Kaheygi zamin umr bhar Allah Allah


Manzar Bhopali

Khuda ka banda, khudawandgar bandon ka
Agar kahein na khudawand kya kahein usko

Woh jis ke maatamiun par hai salsabeele sabeel
Shaheede tashnalabey karbala kahein usko 


No comments: