Amjad Islam Amjad

rooh ko chootai huay ik nazaarai jaisa 
tha ik shakhs yahan subha ke taarai jaisa 

fiker thi sab se juda' khuaab anokhai us ke 
phir bhi lagta tha beher rang humaarai jaisa 

phailti jaati hai saaray main wohi baang-e-dara 
goonj main jis ki hua sail'kinaaray jaisa



kehta hai derpan maire jaisa ban 
taareeki ki maot! aik nahif kiran 
mehnat apna maal waqt"paraya dhan 
baat na kernai se barhti hai uljhan 

apnai dill jaisa! koi nahin dushman 
duniya! lota de mera apna pan 
jhoolai jee uthai jaag paray jaaman 
roz wohi qissah!roz wohi uljhan! 

sadiyaan loot gai paayel ki chan chan 
ye to bersai ga saawan hai"saawan! 
saaray khaak samaan tan or man or dhan 
apnon hi se to hoti an ban 

sab se acha hai apna gher aangan! 
piyaas bari hai ya sonay ka bertan? 
kia uftaad pari! lagta naahin man 
aadam zaad nahin"basti hai ya ban! 

kaisa bhi ho roop !matti hay madfan 
sikkay ke do rukh birhan or dulhan 
dhoka daitay hain ujlay pairahan 
rah main khilta phool bewah ka joban 

donon jhutay hain saajan or saawan 
aahat kis ki hai taiz hui dharkan 
utni khuaahish ker jitna hai daaman 
hum tum donon hain dherti or saawan 

uks banay kaise hai dhundla derpan 
zair-e-aab huay khuaabon ke maskan 
theher gaya hai kion! aankhon main saawan! 

kaccha sona hi banta hai kundan 
ik din nikhray ga ger saccha hai fun! 
kaisay rok sakai ga khushbu ko gulshan 
Amjad merai saath ab tak hai bachpan!



aisi hi sard shaam thi wo bhi, 
jab wo mehndi rachaaye hathon main 
surkh aanchal main moonh chupaaye huay 
apnay khat mujh se lainay aai thi 
us ki sehmi hui aankhon main kitni khaamosh iltijaayen thin! 
us ke chehray ki zard rangat main kitni majboorion ke saaye thai! 
meray hathon se khat pakartai hi 
jaane kia soch ker achaanak wo 
mera shaana paker ke roi thi 
us ke yaqoot rang honton ke,kaokapaatay huye kinaron per 
sabt beetay huay zamaanay thai, 
sainkron un kahay fasaanai thai, 
sard shaamon main aaj bhi akser 
us ki rukhsat ka be sada manzer,meri aankhon main jhilmilaata hai 
aik lamha hinaai hathon se mujhay apni taraf bulata hai 
''Aisi hi sard shaam thi wo bhi''



hawa nazer ke tahi dareechon main jane waale ko dhoondti hai 
gul-e-tamasha ,na jaane kab or kahan se phootay! 
her aik manzerpe us ki khushbu se hairaton ke ilm garay hain 
talash ritay bohat karay hain 
kahin se shams muraad ubhray toseher shab haye kuher tootay 
bikhertay khuaabon ka saath chutay 
guzartay lamhon ka rasta bhi ajeeb jadoo ka silsila hai 
ke main khara hoon pe chal raha hai 
kabhi wo ghogha ke baat mushkil 
kahin wo aalam ke saans atkay 
kahin hawa se nijaat mushkil 
her aik saaye main us ka paiker ajeeb jadu jaga raha hai 
usi ki khushbu her aik manzer ki zindagi hai 
ke jis ki furqat ke sard waqfay ne aarzoo ke jahan lootay 
gul-e-tamasha ,na jaane kab or kahan se phootay! 
hawa nazer ke tahi dareechon main jane waale ko dhoondti hai





Tay kaisaysadioon ki piyaas, zara phir se kehna 
bari dilruba hai ye saari kahani, zara phir se kehna 

kahan se chala tha judaai ka saaya, daikh nahin paya 
ke rustay main aansuon ki kahani, zara phir se kehna 

hawa ye khaber to sunaati rahai or main sunta rahun 
badalne ko hai ye mausam khizani, zara phir se kehna 

muker jaane wala kabhi zindagi main, khushi phir na paaye 
yunhi khatam ker lain chalo, ye kahani, zara phir se kehna 

samayke samander!kaha tu nay jo bhi , suna, per na samjhay 
jawani ki nadi main tha, taiz paani, zara phir se kehna




"Teri khushbu" 

Teri khushbu 
hawa ke sabz daaman main basi 
to soch ne aankhon main khuahish ke dareechay khol ker dil se kaha 
Khuda shahid 
ke hum ne aaj tak bichray huon ko phir kabhi miltay huay nahin dekha , 
mager hairat sama'at per ke aahat usi ki hai 
jisae tum ne gunwaya tha 
judaai ki hawa jis ke mehaktai jism ki khushbu se khali thi 
jisay khone ka her lamha naye mausam ka haasil tha 
sitaaray jis ki surat daikhne her shab nikalte hain 
nizaaray haath malte hain 
yakayak shehr ki galion main us ke naam ki khushbu uri main ne 
rafaqat ke puraane lehjay main usay aawaz di 
us ne mujhay dekha 
mager us ki nigahon se faqat hairathaweeda thi 
ke jaise poochta ho is takhatub ka sabab kia hai! 
wohi chehra, wohi aankhain, wohi khush wuza'a paiker tha 
ke jaisay maosmon ka ghun usay choonay se qasir ho! 
main bacchay ki tarah shashder khara tha 
us ne baalon ko jhatak ker DOOBTAY sooraj ko ghoora! 
raastay ko aankh main tola , mujhay daikha 
"safer lamba hai" wo bola, 
meri manzil tumhari rehguzer se sainkron fersang aagay hai 
Khuda hafiz!


Chehre pe mere zulf ko phailao kisi din
Kya roz garajte ho baras jao kisi din,

Raazon ki tarah utro mere dil mein kisi shab
Dastak pe mere haath ki khul jao kisi din,

Pedon ki tarah husn ki baarish mein naha lun
Baadal ki tarah jhoom ke ghir aao kisi din,

Khushboo ki tarah guzro mere dil ki gali se
Phoolon ki tarah mujh pe bikhar jao kisi din,

Phir haath ko khairaat mile band-e-qaba ki
Phir lutf-e-shab-e-vasl ko doharaao kisi din,

Guzrein jo mere ghar se to ruk jaayein sitaare
Is tarah meri raat ko chamkaao kisi din,

Main apni har ik saans usi raat ko de dun
Sar rakh ke mere seene pe so jaao kisi din!



laboN pe phool khiltay haiN kisi ke naam se pahle
diloN ke deep jalte hain charagh-e shaam se pahle

kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahiN pata
kahani khatam hoti hai kabhi anjaam se pahle

yahi taare tumhaari aankh ki chilman meiN rehte the
yahi sooraj nikalta thaa tumhare baam se pahle

hui hai shaam jungle main parinde laut.te honge
ab in ko kis tarah rokaiN nawaah-e-daam se pahle

ya saare rang murdaa the tumhaari shakl banne tak
ya saare harf muhmal the tumhaare naam se pahle

huaa hai wo agar munsif tou Amjad ihtiyataN ham
sazaa tasleem karte hain kisi ilzam se pahle






aaNkhoN kaa rang, baat kaa lahjaa badal gayaa
vo shaKhs ek shaam meN kitnaa badal gayaa !

kuch din to meraa aks rahaa aaiine pe naqsh
phir yuN hu�aa ke Khud meraa chehraa badal gayaa

jab apne apne haal pe ham tum na rah sake
to kyaa hu�aa jo hamse zamaanaa badal gayaa

qadmoN tale jo ret bichii thii vo chal paRii
us ne chuRaayaa haath to sehraa badal gayaa

ko�ii bhii chiiz apnii jagah par nahiiN rahii
jaate hi ek shaKhs ke, kyaa kyaa badal gayaa !

ek sar-khushii kii mauj ne kaisaa kiyaa kamaal
vo be-niyaaz, saare kaa saaraa badal gayaa

uThTh kar chalaa gayaa ko�ii vaqfe ke darmiyaaN
pardaa uThThaa to saaraa tamaashaa badal gayaa

hairat se saare lafz use dekhte rahe
baatoN meN apnii baat ko kaisaa badal gayaa

kahne ko ek seh�n meN diivaar hii banii
ghar kii fizaa, makaaN kaa naqshaa badal gayaa

shaayed vafaa ke khel se uktaa gayaa thaa vo
manzil ke paas aa ke jo rastaa badal gayaa

qaayem kisii bhii haal pe duniyaa nahiiN rahii
taa�biir kho gayii, kabhii sapnaa badal gayaa

manzar kaa rang asl meN saayaa thaa rang kaa
jis ne use jidhar se bhii dekhaa badal gayaa

andar ke mausamoN kii Khabar us kii ho gayii
us nau-bahaar-e-naaz kaa chehraa badal gayaa

aaNkhoN meN jitne ashq the jugnuu se ban gaye
vo muskuraayaa aur merii duniyaa badal gayaa

apnii galii meN apnaa hii ghar dhhuNdhtee haiN log
Amjad ye kaun shahr kaa naqshaa badal gayaa








Mera tamam fan, mere kavish, mera riaz
Ik na-tamam geet k misre hain jin k bech
Mani ka rabt hai na kisi qafiye ka mail
Anjam jis ka tey na huva ho, ik aisa khel!!!

Mere mata, bas yehi jadu hai ishq ka
Sikha hai jis ko meine bare mushkilon k sath
Lekin yeh seher-e-ishq ka tohfa ajeeb hai
Khulta nahi hai kuch k haqeeqat mein kya hai yeh!
Taqdeer ki aata hai ya koi saza hai yeh!
Kis se kahen aye jaan ke yeh qissa ajeeb hai

Kehne ko yun to ishq ka jadu hai mere pass
Par mere dil k waste itna hai is ka bojh
Seene se ik pathar sa, hat'ta nahi hai yeh
Lekin asar k bab mein halka hai is qadar
Tujh per ager chalaon to chalta nahi hai yeh!!! 




Gulaab chehre pe muskurahat,,

Chamakti aankhoon main shookh jazbe,,

Wo jab bhi college ki sidhiyon se,,

Seheliyon ko liye utarti,,

To aisa lagta tha jaise dill main utar rahi ho,,

Kuch iss yaqeen se baat karti thi jaise duniya,,

Ussi ki aankoon se dekhti ho,,

Wo apne raste main dill beechhaati huwi negahoon se hans k kehti,,

"Tumhare jaise bohat se larko0n se main yeh batain,

Bohat se barsoon se sun rahi hoon',,

Main sahiloon ki hawa hoon neele samandaroon k liye bani hoon"-

Wo sahiloon ki hawa se ladki,,

Jo raah chalti to aise lagta tha jaise dill main uter rahi ho,,

Wo kal milli to ussi tarha thi-,,

Chamakti aankoon main shookh jazbe, gulab chehre pe muskurahat,,

Ke jaise chaandi pegal rahi ho,,

Magar jo boli to uss k lehje main wo thakan thi,,,

Ke jaise sadiyon se dasht_e_zulmat main chal rahi ho,,,,! 



Hujoom-e-gham se jis dam aadmi ghabra jaata hai
To aise mein
Usse aawaz pe qaabu nahi rehta
Woh itne zoor se faryaad karta, cheekhta or bilbilata hai
ke jaise woh zameen per or khuda ho asmanon mein

Mager aisa bhi hota hai
K us ki cheekh ki aawaz k rokne se pehle hi
Khuda kuch is qadar nazdeek se or is qadar
Rehmat bhare muskan se is ko thapkta or us ki baat sonta hai
K faryadi ko apni cheekh ki shiddat,
Sada ki beyaqeene per, nadamat hone lagti hai 





Kaise karegar hain yeh..
Aas ke darakhton se
Lafz kaatte hain, aur seediyan banate hain..


Kaise behunar hain yeh...
Gham ke beej bote hain..
Aur dilon mein khushiyon ke khet ugate hain..


Kaise charagaar hain yeh...
Waqt ke samandar mein..
Kashtiyan banate hain, aap doob jaate hain..!!


Wo jo ek khwaab si raat thi..

Mere bakht mein..

Yunhi ek pal mein guzar gayi..

Wo guzar gayi to pata chala..

Wohi ek kaam ki cheez thi..

Meri zindagani ke rakht mein..!!




Aankhon ko kaise mil sake khwaabon mein ikhtiyaar...

Qos-E-Qaza ke rang kahin thehrte nahi..

Manzar badalte jaate hain nazron ke saath saath..

Jaise ke ek dasht mein laakhon sarab ho..

Jaise ke ek khayal ki shaklein Hoon be shumaar








Kahii chaand dhund mein kho gaya
Kahi jaag jaag ke so gaya
Mager ik sitara-e-meherban
Jo gawah tha

Sar-e-sham se dam-e-subh tak

Kisi wasal rang se raat ka
Kisi be kinar se lutf ka
Kisi mushkbar se baat ka

Mere sath tha,
Mere sath hai!!! 





Yahi Buhat Hy Ky Dil Us Ko Dhoondh Laya Hy
Kisi Ky Saath Sahi Vo Nazar Tu Aya Hy.

Karon Shikayatien Takta Rahoon Ky Pyar Karoon
Gai Bahaar Ki Soorrat Wo Laut Aya Hy.

Wo Samney Tha Magar Ye Yaqeen Na Ata Tha
Wo App Hy Ky Meri Khaahishoon Ka Saya Hy.

Azaab Hein Ky Kaisey Hein, Barishein Kya Hein
Faseel-E-Jism Giri Jub Tu Hosh Aya Hy.

Main Kya Karoon Ga Agar Wo Na Mil Saka 'Amjad'
Abhi Abhi Mere Dil Mein Khayal Aya Hy
(Amjad Islam Amjad)




Sub Tumharay Liay,
Jan-E-Jaan Ye Jahan,Ye Zameen Asmaan,
Ye Meray Raat Din ,Khaak Hain Tery Bin,
Ye Meri Zindagi,Dosti Dushmani,
Rastay,Wastay,Sub Tumharay Liay,
Sub Tumharay Liay,
Tum Jo Dekho To Meray Shab-0-Roz Ko,
Koi Matlab Milay,
Tu Jo Poochay To Meray Her Ik Harf Ko,
Koi Rutba Millay,Koi Mansab Millay,
Tum Jo Socho Meray Wasatay Kuch Bhi,
Main Sitaron Ko Muthi Main Bhar Laonga,
Tum Agar Aik Din Mujh Ko Awaz Do,
Main Jahan Per Bhi hoon, Lout Aoonga,
Ye Meray Jism-O-Jan ,Meray Sher-O-Sukhan,
Meri Tanhayian,
Bazm Araaeaan,
Ab Tumharay Liay,
Sub Tumharay Liay,
Sub Tumharay Liay.
(Amjad Islam Amjad)




Teri Zad Se Nikalana Chahata Hy
Ye Dariya Rukh Badalana Chahata Hy.

Vo Sapana Jis Ki Suurat Hi Nahin Hy
Meri Ankhon Mein Chalana Chahata Hy.

Dilon Ki Mandagi Pe Kya Tajjub
Ki Suuraj Bhi To Dhalana Chahata Hy.

Nashist-E-Dard Badali Hy To Ab Dil
Zara Pahaluu Badalana Chahata Hy.

Mujhe Bhi Samana Hy Karbala Ka
Mera Sar Bhi Uchhalana Chahata Hy.

Nahin Hy Tarjuman-E-Gam Ye Ansuu
Ye Pani Ab Ubalana Chahata Hy.

Tabassum Zer-E-Lab Kahata Hy 'Amjad'
Koi Jazba Machalana Chahata Hy.
(Amjad Islam Amjad)




Ahistagi say ghati hui seh'pehar ki dhoop
dil main utar rahi hai kissi khwab ki tarah
neelay falak pe abar kay tukday kahin kahin
larzaan hain dil kay saaz pe muzrab ki tarah

sehan chaman main dooltay rangoon kay darmiyan
hai ek beqarar si khusboo ruki hui
thehray hue se waqt kay sargoshiyon ki beech
titli koi hai phool kay lab par jhuki hui

patay saba kay paaon ki aahat kay muntazir
shakhon kay darmiyan koi hairat rawan si hai
bethi hai yun wo ghas pay phoolon kay ro'baro
aankhon kay paas koi kehkashan si hai

chehray pe dhoop chaoon ka mela laga hua
shanoo pe baydaraigh say gaysoo khulay hue
qaus e qaza nay apna khazana luta diya
rangat main us kay rang hain saray ghulay hue

aahat pe mery paoon ki, dheeray se chaunk kar
deekha us nay mud kay mujhay is ada kay saath
phaili hai jism o jaan main ajab aik sar khushi
khushboo si koi udnay lagi hai, hawa kay saath

kehta hai us say dil koi baat keejiyay
lamha yehi bayan e gham e aarzoo ka hai
aisa na ho kay sehar ye mausam ka toot jaye
us kam sukhan se waqt yehi guftagoo ka hai










Shama ghazal ki lo ban jaye aisa misra ,ho to kaho 
ik ik herf main soch ki khushbu, ail ka ujala,ho to kaho 

raz-e-muhabbat kehne walay log to lakhon miltay hain 
raz-e-muhabbat rakhne wala, hum sa daikha h,ho to kaho 

kon gawahi dega jhuton ki is basti main 
sach ki qeemat day sakne ka tum main yara ,ho to kaho 

waiay to her shakhs ke dil main ik kahani hoti hai 
hijer lawa, ghum ka saleeqa dard ka lehja ,ho to kaho 

Amjad sahib aap ne bhi to duniya ghoon ker daikhi hai 
aisi aankhain hain to batao ,aisa chehra ,ho to kaho

No comments: