Tere jaisa mera bhi haal tha na
sukoon tha na qaraar tha
Yehi umr thee mere hamnasheen
ke kisi se mujh ko bhi pyar tha
Mai samajh raha hoon teri kasak,
tera mera dard hai mushtarak
Isi gham ka tu bhi aseer hai
isi gham ka mai bhi shikaar tha
Faqat aik dhun thee ke raat din
usi khaabzaar mai gum rahen
Wo saraapa aisa suroor tha
wo khumar aisa khumar tha
Kabhi lamhe bhar ki bhi guftgoo
meri us ke saath na ho saki
Mujhe fursaten nahee mil sakin
wo hawa ke rath pe sawar tha
Hum ajeeb tarz ke log thay
ke hamare aur bhi rog thay
Mai khizan mai uska tha muntazar
use intizar-e-bahaar tha
Use padh ke tum na samjh sake
ke meri kitaab ke roop mai
Koi qarz tha kai saal ka
kai ratjagon ka udhar tha
________________________________
______________________
Agar dukh zindagani k Tumhain aazar pohchaian
Koi jalti hue sa'aat koi bujhta hua lamha
Tumharay dil pay dastak dayTu hum ko yaad kar laina
Abhi zinda hain hum zindagi ki bay-karani main
Abhi tak day rahay hain imtihaanIs kaar gaah-e-imtahaini main
Abhi tak mubtala humain, hum is khawab-e-jawani main
Tum apna koi dukh hum say nahi tou kis say bantoo gay
Kisay Aawaz do gay tum ?Humain Awaz Day Laina
___________________________________________
Tujhey Main Bhool to Jata Magar Terey Taluq se
Jo Chehrey Saamney Aaye Jo rastey Saamney Aaye
Jo Lamhey Saamney Aaye Jo Rishtey Saamney Aaye
Unhein Kaise Bhulata Main Tujhey Kaise Bhualata Main ?
_________________________________________________________
Tere Rehmaton k diyar main Tere badlon ko pata nahin
Abhi Aag Sard hoi nahin, Abhi ik alao bujha nahin
Mere bazme dil to ujer chuki Mera khush biyan to simat chuka
Sabhi Ja Chuke mere hamnashin mager aik shakhs gaya nahin
Gham zindagi tere rah main shab aarzo tere chah main
Jo ujer gaya woh basa nahin, jo bicher gaya woh mila nahin
Jo dil o nazar ka saroor tha, mere pass reh k bhi door tha
wohi aik gulab umeed ka, mere shakh jaan pe khila nahin
Pas karwan sare rehguzar main shikasta pa hoon to is liay
keh qadam to bahut se mila liay, mera dil kisi se mila nahin
Mere hamsafer jo ajeeb hai, to ajeeb ter hoon main aap bhi
Mujhe manzaloon ki khabar nahin, usse rastoon ka pata nahin
_______________________________________________________
Kabhi nazrain milanay main zamanay beet jatay hain
Kabhi nazrain churanay main zamanay beet jatay hain
Kisi nay aankh bhi kholi to soonay ke nagrii main
Kisi ko gher bananay main zamanay beet jatay hain
Kabhi kaali siyah raatain humain ek pal ke lagti hain
Kabhi ek pal bitanay main zamanay beet jatay hain...!!
No comments:
Post a Comment