Monday, March 16, 2015

yun na bikhraao apni zulfon ko 
munh chupaati phiregi raat kahaan


Her Shub Pakray Jaty Hain,
Gehri Neend ek khwaab Aur Main
hijr walon ke haan nahi pohnchi
neend rastey mein so gayee shayad
Cheen Kr Khwab Mere...Meri Talab Poochty Hain...
Raat Bhar Neend Na Aany ka Sabab Poochty Hain



Neend ati kahan hai ab humkO ...
Unki yadOn ka shOr itna hai 



Kisi ko neend aati hy ____ mgr khwabon se nafrat hy
Kisi ko khawb piyary hain...mgr wo so nahi sakta...


Jo Bat bhi kehtey hain Dil mein uter jati hai
Taseer, Juda si hamain wirsay mein mili hai

  1. Bhool jaatay hain mat bura kehna
    log putlay khata k hoty hain
Nahi kuch khaber k kis ghari Tery rastoon ka sira mile
Tery naqsh e paa ki talash main haan  lagi tou hai meri justaju


  1. Lagi dil ki kisi soorat behal jaye tu acha ho
    tmnna ik naye saanchy main dhal jaye tu acha ho

  1. Khawb lafzon mein dhal nahi sakty,
    Kaash Aankhain parha kary koi

  1. Hawa mein bansuri k sur yehi ek baat krty hain
    Ay tanhaii mery dil ka fasana kaisa lagta hai

  1. Rotha tou sheher e khawab ko gharat bhi kar gaya
    Phir muskura kar taza shararat bhi kar gaya.........!!!

mujh sy ab shairy nahen hotee
mujhy lafzoo'n nay maar dala hay





Meri neem jaa'n anaa thi, meri kaj adaai k peechy

tujhy bhool kuen na jaatay agar ikhtiyaar hota


Usy Hum Chor Dain Lekin Bus Ik Choti Si Uljhan Hy...

Suna Hai Dil Se Dhrkan Ki Judai Mout Hoti Hy........!!!
Raat Bher Raat Ko Ik Raat Jagaya Jaaye...

Isko Maloom Toh Ho Hum Pay Guzarti Kia Hai...!!!


Manoos ho gya hoon gham e dil se is qadar,

Milta hai abb sakoon mujhay iztaraab main.

Ye iztirabe-shauk to bulbul ka dekhiye 


Jee chahta hai gaud main le le bahaar ko




Koi mile ye ghanimat hai sooni raaho.n me,

Ab aise waqt koi ghair kya shanasa kya...