Tuesday, November 26, 2013

Aah Ko Chaahiye Ik Umr Asar Hone Tak

Aah Ko Chaahiye Ik Umr Asar Hone Tak
Kaun Jiitaa Hai Terii Zulf Ke Sar Hone Tak

Daam Har Mauj Mein Hai Halqaa-e-sad_kaam-e-nahang
Dekhein Kyaa Guzarey Hai Qatare Peh Gauhar Hone Tak

Aashiqii Sabr Talab Aur Tamannaa Betaab
Dil Kaa Kyaa Rang Karun Khuun-e-jigar Hone Tak

Ham Ne Maanaa Ke Tagaaful Na Karoge Lekin
Khaak Ho Jaayeinge Ham Tum Ko Khabar Hone Tak

Partav-e-khuur Se Hai Shabanam Ko Fanaa Kii Taaliim
Main Bhii Huun Ek Inaayat Kii Nazar Hone Tak

Yak_nazar Besh Nahiin Fursat-e-hastii Gaafil
Garmii-e-bazm Hai Ik Raqs-e-sharar Hone Tak

Gam-e-hastii Kaa Asad Kis Se Ho Juz Marg Ilaaj
Shammaa Har Rang Mein Jaltii Hai Sahar Hone Tak

=========================================

Miltee Hai Kho-e-yaar Se Naar Iltihaab Mein

Miltee Hai Kho-e-yaar Se Naar Iltihaab Mein
Kaafir Hoon Gar Na Miltee Ho Raahat 'azaab Mein

Kab Se Hoon Kya Bataaoon Jahaan-e-kharaab Mein
Shab Haaye Hijr Ko Bhi Rakhoon Gar Hisaab Mein

Taa Phir Na Intezaar Mein Neend Aaye 'umr Bhar
Aane Ka Ahad Kar Gaye Aaye Jo Khwaab Mein

Qaasid K Aate Aate Khat Ik Aur Likh Rakhoon
Main Jaanta Hoon Jo Woh Likhenge Jawaab Mein

Mujh Tak Kab Unki Bazm Mein Aata Tha Daur-e-jaam
Saaqi Ne Kuch Mila Na Diya Ho Sharaab Mein

Jo Munkir-e-wafa Ho Fareb Us Peh Kya Chale
Kyoon Badghumaan Hoon Dost Se Dushman K Baab Mein

Main Muztarib Hoon Wasl Mein Khauf-e-raqeeb Se
Daala Hai Tumko Weham Ne Kis Pech-o-taab Mein

Hai Tevaree Chadee Huee Andar Naqaab K
Hai Ik Shikan Padee Hui Tarf-e-naqaab Mein

Woh Naala Dil Mein Khas K Baraabar Jagah Na Paaye
Jis Naale Se Shigaaf Pare Aaftaab Mein

Woh Sehar Muddaa Talbee Mein Na Kaam Aaye
Jis Sehar Se Safina Ravaan Ho Saraab Mein

'ghalib' Chutee Sharaab, Par Ab Bhee Kabhi Kabhi
Peeta Hoon Roz-e-abr -o- Shab-e-maahtaab Mein

=======================================================



Sitaara Apni Bhi Taabindagi Na Dekh Sakaa

Sitaara Apni Bhi Taabindagi Na Dekh Sakaa
Vo Dhundh Thi K Ye Manzar Koi Na Dekh Saka

Talaash Karte Hue Ungaliyaan Jalaa Daalin
Vo Teergi Thi Ki Main Shama Bhi Na Dekh Saka

Mila Tha Shaam Mujhe Ik Bujha Hua Suraj
Main Us Ke Baad Phir Raushani Na Dekh Saka

Jo Rabt Baqi The Sab Qataa Kar Liye Us Ne
Vo Meharabaan Merii Bechaargi Na Dekh Saka

Nigaah Vaise To Baam-e-falak Ko Chu Aai
Main Jis Zameen Pe Khara Tha Vahi Na Dekh Saka

Vahi Hai Aainaa Khaana Vahi Hain Tasveeren
Main Umr Bhar Koi Surat Nayi Na Dekh Saka

Tamaam Shahar Men Vo Deeda Var Hua Mashhoor
Vo Apni Naak Se Aage Kabhi Na Dekh Saka

============================================================

Kabi Sehra Kabi Sokhay Shjar Ache Nahi Lagte

Kabi Sehra Kabi Sokhay Shjar Ache Nahi Lagte

Mujhe Ab Khwabzaron Ke Safar Ache Nahi Lagte

Jawabi Khat Me Youn Osne Mere Baray Mein Likha Tha

Bura Bi Keh Nahi Sakte Magr Ache Nahi Lagte

Nahi Masrof Me Itna Ke Ghar Ka Rasta Bhulon

Koi Jb Muntazir Na Ho To Ghar Ache Nahi Lagte

Samandr Terti Lehron Se Ye Kehta Raha Shab Bhar

Mujhe Bi Dobnay Walay Bhanwar Ache Nahi Lgtey

Nahi Aisa Ke Ab Parwaz Ki Taqat Nahi Baqi

Meri Umeed Ke Panchi Ko Par Ache Nahi Lgtey



====================================================

Mera Din Chopa Kisi Raat Main

Mera Din Chopa Kisi Raat Main
Meri Raat Chopi Teri Zaat Main

Main Jab Kabhi Bhatak Jaon
Wahin Girte Girte Sambhal Jaon

Mujhe Thokron Se Pata Chala
Koi Hath Hai Mere Hath Main



=======================================================

Abhi Dhundh Hi Rahi Thi

Abhi Dhundh Hi Rahi Thi

Tumeen Yeh Nazar Hamari

K Tum Aa Gaye Achanak

Bari Umr Hay Tumari

Abhi Kuch Hi Dair Pahle

Bara Zikar Tha Tumara

Kai Bar Dharkanon Ne

Tumeen Piyar Se Poukara

Mit'ta Intezar Dil Ka

Hui Khatm Bekarari

Hamein Piyar Ki Khushi Se

Kiya Aashna Tumhi Ne

Tumeen Piyar Ham Woh Dein Ge

Jo Deya Na Ho Kisi Ne

K Tumari Zindagi Hay

Hamein Jaan Se Bhi Piyari

Woh Nazar K Samne Hay

Jisey Ham Ne Dein Sadayeen

Jo Karaar Ban K Aya

Usey Kyun Na Dein Duayeen

===========================================

No comments: