Wednesday, November 27, 2013


Tera Chehra Subha Ka Taara Lagta Hai

Tera Chehra Subha Ka Taara Lagta Hai
Subha Ka Taara Kitna Pyaara Lagta Hai

Tum Se Mil Kar Imlii Meethii Lagtii Hai
Tum Se Bichar Kar Shehad Bhi Khara Lagta Hai

Raat Hamaare' Saath Tuu Jaaga Karta Hai
Chaand Bata Tuu Kyun Hamaara Lagta Hai

Titlii Chaman Main Phool Se Liptii Rahtii Hai
Phir Bhi Chaman Main Phool Kunwara Lagta Hai

Kaif Wo Kal Ka Kaif Kahan Hai Aaj Mian
Ye To Koii Waqt Ka Maara Lagta Hai





Ye Moujza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaye Mujhe

Ye Moujza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaye Mujhe

Ke Sang Tujh Pey Girey Aur Zakham Aaye Mujhe

Wohi To Sab Say Ziada Hai Nuktaa Chee Mera

Jo Muskura Ke Hamesha Galey Lagaye Mujhe

Mai Apney Dil Say Nikalon Khayal Kis Kis Ka

Jo To Nahi To Koi Aur Yaad Aaye Mujhe

Wo Mera Dost Hai Sare Jahan Ko Hai Maloom

Dagha Kare Wo Kisi Say To Sharm Aaye Mujhe

Wo Meherbaan Hai To Iqrar Kio Nahi Karta

Wo Badgumah Hai To Soo Baar Aazmaye Mujhe






Tere' Maqtal Ki Aabroo Hum The'

Tere' Maqtal Ki Aabroo Hum The'
Qatl Ke' Waqt Baa Wazoo Hum The'

Ye' Nadii Ab Kise' Bulaati Hai?
Pahle' To Is Ki Justajoo Hum The'

Apni Basti Ko Yaad Hai Ke' Nahin
Us Ki Galiyon Ki Hao Hoo Hum The'

Apne' Kaam Aa Gaii Wo Mahroomi
Pyaas Ke' Din Kinaar-e-joo Hum The'

Apne' Kuch Khwaab Yaad Aane' Lage'
Raat Maazi Ke' Roo Ba'roo Hum The'





Ya Zohra Jabeenon Ki Munajaat Karien Gay

Ya Zohra Jabeenon Ki Munajaat Karien Gay
Ya Bandagi-e Peer-e Kharabaat Karien Gay

Ye Aqal Ke Sehmay Hue Beemar Iraday
Kiya Chara-e Nasazi-e Halaat Karien Gay

Aa Ae Gham-e Dauraan Mekhana Hai Nazdeek
Aaraam Se Baithien Gay Zara Baat Karien Gay

Jannat Mein Na May Hai Na Muhabbat Na Jawani
Kis Cheez Pe Insaan Basar Auqaat Karien Gay

Keh Do Ye Adam Se Keh Kharabaat Mein Kal Raat
Kuch Log Faqeeron Ki Madaraat Karien Gay



Jab Se Qareeb Ho K Chaly Zindagi Se Hum,

Jab Se Qareeb Ho K Chaly Zindagi Se Hum,
Khud Apny Aainey Ko Lagy Ajnabi Se Hum.

Wo Kon Hai Jo Paas Bhi Hai Aur Door Bhi,
Har Lamha Mangty Hain Kisi Ko Kisi Se Hum.

Ehsas Ye Bhi Kam Nahi Jeenay K Waasty,
Har Dard Jee Rahy Hain Tumhari Khushi Se Hum.

Kuch Door Chal K Raasty Sab Aik Se Lagy,
Milny Gaye Kisi Se, Mil Aaye Kisi Se Hum.

Kis Morr Per Hayat Ne Pohncha Diya Humen,
Naraz Hain Ghamon Se Na Khush Hain Khushi Se Hum.



Aao Chalein

Aao Chalein
Tanhaaiyon Ke Safar Pe
Hum
Jahan Manzilein Hain
Na Raaste
Duriyan Hain Na Faasle
Jahan Koi Bhi Be'wafa Nahi
Jahan Dard-o-ghum
Jaata Nahi
Jahan Pyaar Hai Na
Qasam Koi
Iqraar Hai Na Bharam Koi
Jahan Dil Koi Jalta Nahi
Be'maut Koi Marta Nahi
Aao Chalo Mere Saath Tum
Mere Humsafar
Mere Khwaab Tum
Aao Chalo Mere Saath Tum

No comments: