Thursday, November 28, 2013

Be Noor Ankhon Mein Koi Khuwab To Do,

Be Noor Ankhon Mein Koi Khuwab To Do,
Meri Beqarar Raaton Ka Kuch Hisab To Do,

Tum Khafa Ho Mujhse Laikin Phir Bhi Agar,
Ho Sakay Mere In Sawalon Ka Jawab To Do,

Hum Ne Jis Mein Likhay Thay Kuch Waday,
Agar Mumkin Hai Toh Meri Woh Kitab To Do,

De Nahi Saktay Agar Pyaar Toh Aisa Karo,
Gham Do, Zehar Do, Sharab To Do,

Jis Mein Bheeg Jaye Mere Dil Ki Duniyaan,
Aisa Koi In Aankhon Mein Sailab To Do,

Kabhi Tum Kaha Kartay Thay K Ap Buhat Achay Ho,
Ab Bura Hi Sahi Magar Koi Khitab To Do.....!!!!






Mujh Ko Ruswa Sare Mehfil To Na Kerwaya Kare

Mujh Ko Ruswa Sare Mehfil To Na Kerwaya Kare
Kaash Ansoo Meri Ankhon Mai Hi Reh Jaaya Kare

Ai Hawa Maine To Bas Uska Pata Poochha Thaa
Ab Kahaani To Na Har Baat Ki Ban Jaaya Karey

Bas Bahut Dekh Liye Khwaab Sunaahrey Din Ke
Ab Wo Baton Ki Rifaqat Se Na Behlaaya Karey

Ik Museebat To Nahee Tootee Hai So Is Dil Per
Jis Qayamat Ne Guzarna Hai Guzar Jaaya Karey

Dil Ne Ab Soch Liyaa Hai Ke Yeh Zalim Duniaa
Jo Bhi Kerna Hai Karey Mujh Ko Na Uljhaya Karey

Jis Ke Khwabon Ko Mai Aankhon Mai Saja Ker Rakkhoon
Uski Khushboo Kabhi Mujh Ko Bhi To Mehkaaya Karey




Ye Bikhri Si Zulfein Ye Pheala Sa Kajal,

Ye Bikhri Si Zulfein Ye Pheala Sa Kajal,

Ye Bechain Aankhein Ye Simta Sa Aanchal,

Tere Haal Se Log Pehchan Lein Gy,

Tuje Dekh Kr Sb Muje Jan Lein Gy,

Ye Behkey Qadam Ye Larkharati Jawani,

Ye Betaab Dil Aur Muhabt Deewani,

Shafak Jaese Galon Pe Ubhri Hoi Hai,

Mere Honton Ki Ek Mehakti Nishani,

Tere Jism Se Urrti Meri Ye Khushbo,

Suna Dy Gi Hr Ek Ko Sari Kahani,

Na Bn Jaye Apna Milan Ek Fasana,

Abhi Ghar Na Jana,, Abhi Ghar Na Jana...!






Honton Pe Kabhi Un K Mera Naam He Aye

Honton Pe Kabhi Un K Mera Naam He Aye
Aye To Sahi Bar-sar-e-ilzaam He Aye

Heran Hain Lab'basta Hen, Dilgeer Hain Gunche
Khushbu Ki Zubani Tera Pegham He Aye

Lamhat-e-masarat Hen Tasawur Se Gurezaan
Yaad Aae Hain Jab B Gham-o-alam He Aye

Taaron Se Saja Lenge Raah-e-shahr-e-tamana
Maqadar Nhi Subho Chalo Shaam He Aye

Yaadon K Vafaaon K Aqeedon K Ghamon K
Kaam Aye Jo Duniya Mei To Is Naam He Aye

Kya Raah Badalne Ka Gila Hamsafaron Se
Jis Raah Se Chale Tere Dar-o-baam He Aye

Thak Haar Ke Baithe Hain Sar-e-ku-e-tamanna
Kaam Aye To Phir Jazba-e-naakaam He Aye

Baaqi Na Rahe Saakh "adaa" Dasht-e-junoon Ki
Dil Mein Agar Andeshaa-e-anjaam He Aye





Jo Feraib Main Nay Khaye Tujhay Razdan Samaj Kar

Jo Feraib Main Nay Khaye Tujhay Razdan Samaj Kar
Usay Kesay Bhool Jaon Ak Daastan Samaj Kar

Na Mitaoo Thokrou Say Ye Mazaar Hay Kesi Ka
Zara Reham Kar Khudara Isay Ak Nishaan Samaj Kar

Aray O Jalanay Walay Ye Tera Hi Tha Nasheman
Jisay Tu Nay Phounk Dala Mera Aashiyaan Samaj Kar

Na Bhuja Charag Zalim Abhi Dorr Hay Sawera
Kahi Lou Lipat Na Jaye Tujhay Badguma Samaj Kar

Mujhay Ghorr Say Na Dekho Wahi Na Muraad Gul Hoon
Jisay Tu Nay Round Dala Mujhay Be Zubaan Samaj Kar

Ay Shakeel Kia Bataon Wo Karay Gaye Jo Jafa'en
Unhay Main Nay Dil Diya Tha Ak Meharbaa Samaj Kar

No comments: