Wednesday, November 27, 2013

Badan Se Uthti Thi Us K Khushbo, Saba K Lehjay Mein Boolta Tha

Badan Se Uthti Thi Us K Khushbo, Saba K Lehjay Mein Boolta Tha
Ye Meri Aankhein Thi Uska Bistar, Wo Meray Khawabon Mein Jaagta Tha

Haya Se Palkein Jhuki Hoi Thin Hawa Se Saansen Ruki Hoi Thin
Wo Meray Senay Mein Sar Chupaey, Najnay Kya Baat, Soochta Tha!

Koi Tha Chashm E Karam Ka Talib, Kisi Pe Shouq E Wisaal Ghalib
Sawaal Phailay Thay Chaar Janib, Bus Aik Main Tha Jo Chup Khara Tha

Ajeeb Muhabbat Ajeeb Rut Thi, Khamoosh Bethay Hoey Thay Donon
Main Uski Awaaz Sun Raha Tha, Wo Meri Awaaz Sun Raha Tha

Wo Aur Hon Gay Ke Jin Ko "amjad" Naey Manazir Ki Chaah Ho Gi
Main Us K Cheray Ko Dekhta Hon, Main Us K Cheray Ko Dekhta Tha!




Apne Hum'raah Jo Aate Ho Idhar Se Pehle

Apne Hum'raah Jo Aate Ho Idhar Se Pehle
Dasht Parta Hai Mian Ishq Main Ghar Se Pehle

Chal Diye Uth Ke Soo-e-shehar-e-wafa Koo-e-habeeb
Pooch Laina Tha Kisii Khaak Ba Asar Se Pehle

Ishq Pehle Bhii Kiya Hijr Ka Ghum Bhii Daikha
Itne Tarpe Hain Na Ghabraaye Na Tarse Pehle

Jee Behalta Hii Nahi Ab Koii Saat, Koii Pal
Raat Dhaltii Hi Nahi Chaar Pehar Se Pehle

Hum Kisi Dar Pe Na Tikay Na Kahin Dastak Dee
Saikaron Dar The Merii Jaan Tere Dar Se Pehle

Chaand Se Aankh Milii Jee Ka Ujaala Jaaga
Hum Ko Sau Baar Huii Subah Sehar Se Pehle






Har Lamha Teri Yaad Ki Khushbuu Hai Mere' Paas

Har Lamha Teri Yaad Ki Khushbuu Hai Mere' Paas
Is Shehar Main Tanha Hoon Magar Tuu Hai Mere' Paas

Jis Shakl Ko Chahoon Teri Tasveer Main Badal Doon
Ye Husn-e-tasavvar Hai Ke Jaaduu Hai Mere' Paas

Rakhta Hai Sadaa Jo Meri Raaton Ko Mo'attar
Wo Tere' Badan Ka Gul-e-khushbuu Mere' Paas

Kese' Mujh Ko Pasand Aaein Ge' Is Shehar Ke Naghme'
Tuu Hai Meri Koyal Teri Kuu Kuu Hai Mere' Paas

Kyun Thaamoon Ga Jaan! Main Kisi Aur Ki Baanhain
Pehne' Huye Kangan Tere' Baazuu Hain Mere' Paas

Jab Chahoon Qateel Us Ke Nagar Tak Mujhe' Le' Jaaein
Sochon Ka Chammakta Hua Jugnuu Hai Mere' Paas





Jab Pyaar Nahi Tha Tou Bhulaa Kyun Nahin Detey,

Jab Pyaar Nahi Tha Tou Bhulaa Kyun Nahin Detey,
Khat Kiss Liye Rakhey Hain Jalaa Kyun Nahin Detey,

Kiss Vastey Likhaa Hai Hatheli Pay Meraa Naam,
Main Harf E Galat Hun Tou Mitaa Kyun Nahin Detey,

Lillah Shabb - O - Roz Kee Uljhan Say Nikalo,
Tum Merey Nahin Ho Tou Bataa Kyun Nahin Detey,

Reh Reh Kay Na Tadpao Ae Be_dard Maseeha,
Hathon Say Mujhay Zehar Pilaa Kyon Nahin Detey,

Jab Meri Wafaon Pay Yakeen Tum Ko Nahin Hai,
Hasrat Ko Nighahon Say Giraa Kyun Nahin Detey,

No comments: