Wednesday, November 27, 2013

Na Khauf-e-barq, Na Khauf-e-sharar Lage Hai Mujhe

Na Khauf-e-barq, Na Khauf-e-sharar Lage Hai Mujhe
Khud Apne Baagh Ke Phoolon Se Dar Lage Hai Mujhe

Ajeeb Dard Ka Rishta Hai Saarii Duniya Main
Kahein Ho Jalta Makaan, Apna Ghar Lage Hai Mujhe

Main Aik Jaam Hoon Kis Kis Ke Hont Tak Pohnchoon
Ghazab Kii Pyaas Liye Har Bashar Lage Hai Mujhe

Taraash Laita Hoon Us Se Bhii Aaeine Manzoor
Kisii Ke Haath Ka Patthar Agar Lage Hai Mujhe



Khaein Door Dasht-e-khayal Main,

Khaein Door Dasht-e-khayal Main,
Koi Qaafla Hay Ruka Hoa,
Khaein Khaali Aankh Ki Goud Main,
Kai Ratjagay Hain Pary Hoay,
Kahin Ehd-e-maazi Ki Rah Per,
Koi Yaad C Kahein Kho Gai,
Kahein Khuab Zaaron K Darmian,
Mujhy Zindgi Nay Basar Kia,
Mery Mah-o-saalon Ki Goud Main,
Na Visaal Ka Koi Chaand Hay,
Koi Aas Hay Na Umeed Hay,
Na Kisi Sitaary Ka Saath Hay,
Na Hi Haath May Koi Haath Hay,
Kai Wahemy, Kai Waswasy,
Mujhy Gheyr Laytey Hain Shaam Say,
Wohi Din Mata-e-hayat Hain,
Jo Basar Kiay Tery Naam Say,



Humain Aakar Manaa Laina Kisi Bhi Kaam Se Pehlay

Humain Aakar Manaa Laina Kisi Bhi Kaam Se Pehlay
Udasi Thehar Jati Hai Tumhare Naam Se Pehlay

Kahan Bichra Hua Koi,safar Kay Baad Milta Hai
Humain Mil Kar Hi Jana Tum Safar Ki Shaam Say Pehlay

Yahi Taarey Teri Aankhon Ki Chilman Main Rehtey Thay
Yahi Soraj Nikalta Tha, Tumharey Baam Se Pehlay

Meri Aankhon Ko Teri Ungliyon Ki Aram Ki Aadat Hai
Ye Aankhen So He Jati Theen Barey Aaram Se Pehlay

Teri Aankhon Ko Dekha To Faqt Itna Khyaal Aaya
Guzra Kis Tarha Jewan Saloney Jam Sey Pehlay

Dilon Main Phool Khiltey Hain Tumharay Naam Say Pehlay
Laho Main Deep Jaltey Hain Tumharey Naam Say Pehley

Dilon Ki Jagmagati Bastiyan Aitraz Karti Hain
Wohi Jo Log Lagtey Hain Nihayat Aam Say Pehley

Hua Hai Wo Agar Munsif, To Amjad Ehtiatan Hum
Saza Tajweez Kartey Hain Kisi Anjam Say Pehlay ..........!!


Gehri Gehri Raat Samander,

Gehri Gehri Raat Samander,
Din Sehra Aur Raat Samundar,

Phir Bhi Main Hun Tishna Tishna,
Warna Uski Zaat Samundar,

Samnay Uski Aankhon K,
Teri Kya Oqaat Samundar,

Phir Bhi Gham Kya? Raah Mein Meri,
Haayel Hain Gar Saat Samundar,

Meri Gaftagu Hai Sehra Sehra,
Uski Har Ek Baat Samundar,

Boond Boond Ko Tarsay Sehra,
Pee Jaye Barsaat Samundar.......!!!!!


Mujhay Chashm-e-naz Se Mut Gira

Mujhay Chashm-e-naz Se Mut Gira
Mairay Hum Nafas, Mairay Sathiya
Teray Saray Uzer Qabool Hain
Yeah Muhabaton Ke Asool Hain

Rahon Kab Talak Tery Rahon Main
Mujhay Rakh Ke Daikh Nigahon Main
Mairy Khawahishien Teri Chah Main
Kisi Guzray Waqat Ki Dhol Hain
Yeah Muhabaton Ke Asool Hain

Mairy Zindagani Dhuwan Dhuwan
Teray Sath Jaoon Kahan Kahan
Mairy Arzoien Khizan Khizan
Teray Paas Phol Hi Phol Hain
Yeah Muhabaton K Asool Hain

Mujhay Mairy Zat Pe Qudratien
Kahan Main. Kahan Mairy Hasratien
Teri Be Rukhi, Teri Raghbatien
Mairy Zindagi Ka Hasool Hain
Yeah Muhabaton Ke Asool Hain

No comments: