Tuesday, November 19, 2013

 bazm meN DhuuNDeNge kal ko ahl-e-maiKhaanaa mujhe 

:muddatoN royaa kareNge jaam-o-paimaanaa mujhe: 



maiN ki huuN dar-asl arsh-e-fahm-o-daanish par muqeem 

aur dunyaa kah rahii hai ek deevaanaa mujhe! 



mujh ko saudaaii samajhte haiN tamaam ahl-e-Khirad 

dekhiye shaayad kaheN deevaane farzaanaa mujhe! 



mujh divaane kii zakaa par mahv-e-hairat haiN vo aaj 

jo dikhaate the adaayeN hosh.mandaanaa mujhe 



raaz-e-ulfat shahr bhar par ho gayaa zaahir magar 

yaar kii nazroN hii ne mutlaq na pahchaanaa mujhe 



tark-e-rishtaa hii kii zid hai to mubaark ho tumheN 

is qadar ahsaan karnaa, yaad mat aanaa mujhe 



baahamii thii, jo Ghalat.fahmii thii apne darmiyaaN 

maiN agar tum ko na samjhaa, tum ne kab jaanaa mujhe! 



ab maiN is dunyaa-e-begaanaa meN jii kar kyaa karuuN 

tum ne bhii jab kar liyaa tasleem begaanaa mujhe 



apne to apne, ye maaNge hai zamaane bhar ke Gham 

yaa Khudaa! kyoN dil diyaa sab se judaa.gaanaa mujhe! 



jalva.haa-e-husn-e-jaanaaN kii lataafat yaad hai 

Khuub.tar ab kyaa dikhaayegaa parii.Khaanaa mujhe! 



thii niyaaz-e-chashm-e-saaqii bhii gunah gar, ai falak! 

kyoN ataa kii thii bhalaa phir tab.a-e-rindaanaa mujhe? 



dard.haa-e-zindagaanii ke nashe meN chuur huuN 

saaqiyaa! bhaatii nahiiN ab chashm-e-mastaanaa mujhe 



der.paaii-e-nishaaN :Abid: hai Khush.fahmii mirii 

bhuul jaayegaa zamaanaa misl-e-afsaanaa mujhe!

No comments: