Saturday, November 9, 2013

 Ik ik patther jod ke maine jo deewar banaai thee
Jhaanko us ke peeche to ruswaai hi ruswai thee

Yun lagta hai sote jaagte auron ka mohtaaj hoon mai
Aankhen meri apni hain per in mai neend paraai hai

Dekh rahey hain sab hairat se neele neele paani ko
Poochhe kon samandar se tujh mai kitni gehraai hai

Aaj hua maloom mujhey is sheher ke chand sawalon sey
Apni raah badalte rehnaa sab se badi daanaai hai

Tod gaye paimaan-e-wafa is daur mai kaise kaise log
Yeh mat soch Qateel ke bas ik yaar tera harjaai hai


____________________________________________


bechain baharon mein kya-kya hai jan ki khushbu ati hai 
jo phul mahakta hai us se tufan ki khushbu ati hai 

kal rat dikha k khwab-e-tarab so sej ko suna chor gaya 
har silwat se phir aj usi mehman ki khushbu ati hai 

talkin-e-ibadat ki hai mujhe yun teri muqaddas ankhon ne 
mandir k darichon se jaise loban ki khushbu ati hai 

kuch aur bhi sansen lene par majbur-sa main ho jata hun 
jab itne bare jangal mein kisi insan ki khushbu ati hai 

kuch tu hi mujhe ab samjha de ai kufr duhai hai teri 
kyun shekh ke daman se mujhko iman ki khushbu ati hai 

darta hun kahin is alam mein jine se na munkir ho jaun 
ahbab ki baton se mujhko ehsan ki khushbu ati hai

_____________________________________________

hijr ki pahli sham k saye dur ufaq tak chaye the 
ham jab us k shahar se nikle sab raste sanwlaye the 

jane wo kya soch raha tha apne dil mein sari rat 
pyar ki baten karte karte us k nain bhar aye the 

mere andar chali thi andhi thik usi din patjhar ki 
jis din apne jure mein usne kuch phul sajaye the 

usne kitne pyar se apna kufr diya nazrane mein 
ham apne iman ka sauda jis se karne aye the 

kaise jati mere badan se bite lamhon ki khushbu 
khwabon ki us basti mein kuch phul mere ham-saye the 

kaisa pyara manzar tha jab dekh ke apne sathi ko 
per pe baithi ik chiriya ne apne par phailaye the 

rukhsat k din bhigi ankhon us ka wo kahna ha "Qateel" 
tum ko laut hi jana tha to is nagri kyun aye the

_______________________________________________________________________


mey ne puuchaa pehlaa patthar mujh par kaun uThaayegaa 
aai ik aavaaz k tuu jis kaa mohsin kahlaayegaa 

puuchh sake to puuchhay koi ruuTh ke jaane vaalon se 
roshaniyo ko mere ghar kaa rastaa kaun bataayegaa 

logo mere saath chalo tum jo kuchh hai vo aagay hai 
peechay mur kar dekhnay vaalaa patthar kaa ho jaayegaa 

din mein haNskar milne vaale chehray saaf bataatay hain 
ek bhayaanak sapnaa mujh ko saari raat Daraayegaa 

mere baad vafaa kaa dhokaa aur kisii se mat karnaa 
gaali degi duniyaa tujh ko sir meraa jhuk jaayegaa 

sookh gai jab in aaNkhon mein pyaar ki neeli jheel Qateel
tere dard kaa zard samandar kaahay shor machaayegaa

____________________________________________________


dil ko gam-e-hayat gawara hai in dinon 
pahle jo dard tha wahi chara hai in dinon 

ye dil zara sa dil teri yadon mein kho gaya 
zarre ko andhiyon ka sahara hai in dinon 

har sail-e-ashk sahil-e-taskin hai aj kal
darya ki mauj-mauj kinara hai in dinon

shamon mein ab nahin hai wo pahle si roshni
shayad wo chand anjumanara hai in dinon

tum a sako to shab ko barha dun kuch aur bhi 
apne kahe mein subah ka tara hai in dinon 

qurban hon jis k husn pe sau jannaten 'Qateel'
nazaron k samne wo nazara hai in dinon

________________________________________


garmi-e-hasrat-e-nakam se jal jate hain 
ham charagon ki tarah sham se jal jate hain 

bach nikalate hain agar atih-e-sayyad se ham 
shola-e-atish-e-gulfam se jal jate hain 

khudnumai to nahin shewa-e-arbab-e-wafa 
jin ko jalna ho wo aram se jal jate hain

shama jis ag mein jalti hai numaish k liye 
ham usi ag mein gumnam se jal jate hain 

jab bhi ata hai mera nam tere nam ke sath 
jane kyun log mere nam se jal jate hain

rabta baham pe hamein kya na kahenge dushman 
ashna jab tere paigam se jal jata hai

_______________________________________

duniya ne ham pe jab koi ilzam rakh diya
ham ne muqabil us k tera nam rakh diya

ik khas had pe a gai jab teri berukhi
nam us ka ham ne gardish-e-ayyam rakh diya

main larkhara raha hun tujhe dekh-dekh kar
tune to mere samne ik jam rakh diya

kitna sitamzarif hai wo sahib-e-jamal
us ne diya jala k lab-e-bam rakh diya

insan aur dekhe bagair us ko man le
ik khauf ka bashar ne Khuda nam rakh diya

ab jis k ji mein aye wahi paye raushani
ham ne to dil jala k sar-e-am rakh diya

kya maslahatshanas tha wo adami 'Qateel'
majburiyon ka jis ne wafa nam rakh diya

-------------------------------------------------------------------------


Wafa ke shesh mahal mein sajaa liyaa main ne
vo ek dil jise patthar banaa liyaa main ney

ye soch kar ki na ho taak mein Khushii koii
Ghamon ki or mein Khud ko chupa liyaa main ney

kabhii na Khatm kiyaa main ne roshanii kaa muhaaz
agar chiraaG bujhaa, dil jalaa liyaa main ney

kamaal ye hai ki jo dushman pe chalaanaa thaa
vo tiir apane kaleje pe khaa liyaa main ney

'Qateel' jis ki adaavat mein ek pyaar bhii thaa
us aadmii ko galey se lagaa liyaa main ney-

___________________________________________


Mein samandar bhi hoon, Moti bhi hoon, Gauta-zan bhi…
Koi bhi naam mera le ke bulaa le mujhko!

Tune dekha nahi aainay ke aagay kuch bhi…
Khud-parasti mein kahi tu na gawaa de mujhko!

kal ki baat aur hai, mein aab sa rahoon, Ya na rahoon…
Jitna jee chaahe tera, aaj sata le mujhko!

Khud ko mein baant na daloon kahi Daman-Daman
Kar diya tune agar, mere hawaale mujhko!

Baa`dah phir baa`dah hai, mien zehar bhi pee jaao "Qateel"
Shart yeh hai, koi baahoo mein sambhaale mujhko!

____________________________________________________________________________

Bahar Rutt me ujar Rasty,
Tak’ka kro gy to Ro paro gy…
Kisi se milny ko jab bhi Mohsin,
Sajja karo gy to Ro paro gy….
Tumhare wadon ne yar muj ko,
Tabah kiya hy kuch is trha se…
K zindgi me jo phir kisi se,
Dagha karo gy to Ro paro gy…
Main janta hon meri muhabbt,
Ujar dy gi tumhe bhi aise…
K chand raton me ab kisi se,
Mila kro gy to Ro paro gy…
Barasti barish me yad rakhna,
Tumhe stayein gi meri ankhen…
Kisi Wali k mazar par jab
Dua karo gy to Ro paro gy…!!!

________________________________


Tum jo hote tu hamien kitna sahara hota
Hum ne auroun ko na youn dukh mein pokara hota

Jitni siddat se main wabasta tha tum se Farhat
Kis tarha mera tere baad guzara hota...........!

Mujh ko yeh soch hi kafi hai jalane k liye
main nahota tu koi aur tumhara hota

Aur hum baith k khamoshi se roye jate
Sham hoti kisi darya ka kinara hota

Dil se dekhi nahi jati thi khamoshi ghar ki
kis tarha ojdha hoa shehar gawara hota

Chand hota k meri Jaan sitara hota
Hum ne ik tere siwa dil se otara hota

Tu ne socha hai kabhi kitna mohabat k baghair
Rooh farsaa dil-e-viraan ka nazara hota !!

-----------------------------------------------------------


kyaa Khabar thii ke mai.n is darjaa badal jaa_uu.Ngaa
tujh ko kho duu.Ngaa tere Gam se sambhal jaa_uu.Ngaa

ajanabii ban ke miluu.Ngaa mai.n tujhe mahafil me.n
tuu ne chhe.Dii bhii to mai.n baat badal jaa_uu.Ngaa

Dhuu.NDh paaye na jahaa.N yaad bhii terii mujh ko
aise jangal me.n kisii roz nikal jaa_uu.Ngaa

zid me.n aaye hue maasuum se bachche kii tarah
Khud hii kashtii ko Dubone pe machal jaa_uu.Ngaa


_______________________________________________

Kitaab-e-AazooK Gumshuda Kuch Baab Rakhay Hain

Teray Takiye K Nechay Bhi Humharay Khuwab Rakhay Hain



Makaan Tu Satha-e-Derya Per Banay Hababoon Nay

Asasay Ghar K Laykin Sab Nay Zeer-e-Aab Rakhay Hain



Ye Kankar In se Pehlay Haath Per Lehrein Bana Lay Ga

Humhari Rah Main chahat Nay Jo Talaab Rakhay Hain



Kinraoon Per Ponch Kar Teeay Lagti Hain Tasweerein

Samander Nay Safenay Tu Pas-e-Gidaab Rakhay Hain



Humharay Ghar Ki Bunidyadon K Pathar Kia Howay Akhir

Kahin Toofan K Tukray Kahin Selaab Rakhay Hain



Teray Aanay Sepehlay Jin Ko Murjhanay Ki Juldi Thi

Wohi Pattay Hawa-e-Hijar Nay Shadab Rakhay Hain


____________________________________________--


Dast basta shehr main kholay meri zanjeer
koun
Paa baa gul sab hain rehaayee ki karey tadbeer koun
Mera sar haazir
hay lekin mera munsif dekh lay
Kar raha hay meri fard0e0jurm ko tehreer
koun
Meri chaadar toh chinni thee shaam ki tanhaayee main
Be-riddayii
ko meri phir dey gaya tash-heer koun
Neend jub kawbon sey pyari ho toh
aisey ehd main
Khawb dekhay koun aur khawbon ki dey taabeer koun
Rait
abhi pichlay gharondon sey na wapis ayee thee
Phir lab-e-saaahil gharonda kar
gaya taameer koun
Dushmano kay sath merey dost bhi azaad hain
Dekhna
hay kheenchta hay mujh pay pehla teer
koun

____________________________________________





No comments: