Tuesday, November 19, 2013

 merii zindagii hai zaalim, tere Gam se aashkaaraa 
teraa Gam hai dar-haqiiqat mujhe zindagii se pyaaraa 


vo agar buraa na maane to jahaan-e-rang-o-buu men 
main sukuun-e-dil kii Khaatir koii Dhuudhh luun sahaaraa 


ye falak falak havaayen ye jhukii jhukii ghataayeN 
vo nazar bhii kyaa nazar hai jo samajh na le ishaaraa 

mujhe aa gayaa yaqiin saa yahii hai merii manzil 
sar-e-rah jab kisii ne mujhe daffa'atan pukaaraa 


main bataauuN farq naasih, jo hai mujh men aur tujh men 
merii zindagii talaatum, terii zindagii kinaaraa 


mujhe guftaguu se barkar Gam-e-izn-e-guftaguu hai 
wahii baat puuchhte hain jo na kah sakuun dobaaraa 


koii aye 'Shakeel' dekhe, ye junuun nahiin to kyaa hai 
ke usii ke ho gaye ham jo na ho sakaa hamaaraa

No comments: