Sunday, November 24, 2013


Apni Soyi Hoi Duniya Ko Jaga Lon To Chaloon

Apni Soyi Hoi Duniya Ko Jaga Lon To Chaloon
Apney Gham-khane Me Ek Dhoom Macha Lon To Chaloon
Aur Ek Jaam-e-may-talkh Chara Lon To Chaloon
Abi Chalta Hon Zara Khud Ko Sambhaal Lon To Chaloon


Jane Kab Pee Thi Abi Tak Hai May-e-gham Ka Khumaar
Dhundla Dhundla Sa Nazar Ata Hai Jahan-e-bedaar
Aandhiyan Chalti Hen Duniya Hoi Jati Hai Ghubaar
Aankh To Mal Lon Zara, Hosh Me Aa Loon To Chaloon


Wo Mera Saahir, Wo Ejaaz Kahan Hai Laana
Meri Khoi Hoi Awaz Kahan Hai Laana
Mera Toota Hoa Wo Saz Kahan Hai Laana
Ek Zara Geet Bhe Es Saaz Pe Gaa Lon To Chaloon


Main Thaka-haara Tha Itne Me Jo Aaye Badel
Kisi Matvaley Ne Chupkey Se Barhaa Dee Botel
Uff Wo Rangeen Pur-asaraar Khayalon Ke Mahel
Aise Do Chaar Mahel Aur Bana Lon To Chaloon


Meri Aankhon Me Abi Tak Hai Mohabat Ka Gharoor
Mere Honto'n Ko Abi Tak Hai Sadaaqat Ka Gharoor
Mere Maathey Pe Abi Tak Hai Sharafat Ka Gharoor
Aise Vehmon Se Bhe Ab Khud Ko Nikaalon To Chaloon,

No comments: