Paani Aankh Me Bhar Kar Laya Jaasakta Hai
Ab Bhi Jalta Shaher Bachaya Jaa Sakta Hai Ek Mohabbat Aur Woh Bhi Naa Kaam Mohabbat Laikin Iss Se Kaam Chalaya Jaa Sakta Hai Dil Par Paani Peene Aati Hain Umeedein Iss Chashme Me Zaher Milaya Jaa Sakta Hai Mujh Gumnam Se Puchte Hain Farhad Wo Majnu Ishq Me Kitna Naam Kamaya Jaasakta Hai Phataa Poorana Khawab Hai Phir Bhi Issme Apna Aap Chupaya Ja Sakta Hai, |
No comments:
Post a Comment