Friday, November 8, 2013

 havaa-e-shauq ke rangiiN dayaar jalne lage
hu’ii jo shaam to jhakkaR ajiib chalne lage

nasheb-e-dar kii mahek raaste sajaane lagii
faraaz-e-baam ke mahtaab dil meN dhalne lage

vahaaN rahe to kisii ne bhii haNs ke baat na kii
chale vatan se to sab yaar haath malne lage

abhii hai vaqt chalo chal ke us ko dekh aayeN
na jaane shams-e-ravaaN kab lahuu ugalne lage

“Munir” bhuul se chehre pe ashk Dhalke haiN
ke jaise la’al samm-e-rang se piGhalne lage

Munir Niazi

No comments: