Friday, November 8, 2013

 Yun mujhay kab talak sahogay tum
kab talak mubtala rahogay tum……

dard-mandi ki mat saza pao…..
ab tau tum mujh se tang aa jao

mein koi markaz –e- hayat nahin…….
wajah –e- takhleeq –e- kainaat nahin

mera har charah-gar nidhaal hua
yani’ mein kia hua wabaal hua…..

Jaun gham k hujoom se niklay…
aur janaaza bhi dhoom se niklay

aur janazey mein ho yeh shor –e- hazeen
aaj woh mar gaya jo tha he nahin…………..

No comments: